*Miraaj Kay Mutaliq Aqeedah Ahle Sunnat*
                    (Qist Awwal)

*Waqia Miraaj Kab Hua*
Miraaj ki tareekh, din aur maheena mein bohat ziyada ikhtilafat hain, lekin itni baat par bila ikhtilaf sab ka ittefaq hai kay Miraaj nuzool e wahi kay baad aur hijrat say pehlay ka waqia hai jo Makka Muazzama mein paish aaya aur Ibn Qutaiba Dinawari (Al Mutawaffi 267 Hijri) aur Ibn Abdul Barr (Al Mutawaffi 463 Hijri) aur Imam Rafai aur Imam Nawawi nay tehreer farmaya kay waqia Miraaj Rajab kay maheenay mein hua, aur Muhaddis Abdul Ghani Muqaddasi nay Rajab ki sattayisween bhi mutayyan kar di hai aur Allama Zarqani nay tehreer farmaya hai kay logon ka isi par amal hai aur baaz muarrikheen ki raye hai kay yehi sab say ziyada qawi riwayat hai.
*(Zarqani jild 1 safha 355 ta 358)(Al Mawahib Al Ladunniya wa Sharh Al Zarqani bab waqt Al Isra, j2, safha 70, 71 Multaqatan)*
Hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rehmatullah Alaih farmatay hain Baitullah Shareef say Baitul Muqaddas tak ki jismani Miraaj qatai yaqeeni hai, is ka inkar kufr hai, Baitul Muqaddas say aasman balkay la makan tak ki Miraaj ka agar is liye inkar karta hai kay aasman kay phatnay ko namumkin manta hai to bhi kafir hai kay is mein aayat e Qurania ka inkar hai warna gumrah hai, mazeed likhtay hain kay Aayat e Kareema *SUBHANA ALLAZI say BARAKNA HAULAHU* tak Baitul Muqaddas tak ki Miraaj ka zikr hai aur *LINURIYAHU MIN AAYATINA* mein aasmani Miraaj ka zikr hai aur *INNAHU HUWAS SAMEEUL BASEERU* mein la makani Miraaj ka zikr hai.(Miraat ul Manajih, 8/135)
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rehmatullah Alaih farmatay hain: jismani Miraaj nabuwat kay giyarhween saal yani hijrat say do saal pehlay apni (chachazad) hamsheera Umm e Hani kay ghar say sattayisween Rajab doshanba ki shab ko hui. (Mawahib Ladunniya ma Zarqani, 2/70, 71, Miraat ul Manajih, 8/135)

*Umm e Hani kay ghar say Masjid Haram tak*
Miraaj ki ibtida kahan say hui? Is baray mein Sharih e Bukhari Allama Mahmood Aini Hanafi Rehmatullah Alaih farmatay hain kay Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Hazrat Umm e Hani Razi Allahu Anha kay ghar par aaram farma rahay thay jo Shaab e Abi Talib kay paas tha, ghar ki chhat khul gai, farishta andar dakhil hua aur aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam ko ghar say utha kar Masjid Haram laye jabkay aap par oongh ka asar tha. (Umdat ul Qari, 11/600, Tehat ul Hadees:3887)

*Shaqq e Sadr aur Buraq par sawari*
Allah kay Habeeb Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay irshad farmaya: mein Hateem mein aaram kar raha tha kay achanak aik aanay wala meray paas aaya aur meri hansli ki haddi say lay kar pait kay neechay tak ka hissa chaak kia, mera dil nikala, phir sonay ka aik tasht laya gaya, is mein mera dil Zam Zam say dhoya gaya, phir usay hikmat say bhara gaya, phir usay dobara is ki jagah rakha gaya, phir meray paas safaid rang ka aik janwar laya gaya jo khachar say chhota aur gadhay say bada tha mein is par sawar hua.(*Bukhari,2/584,Hadees:3887,Muslim,safha87, Hadees: 411 Makhuzan*)
Utar kar namaz padhi, phir arz kia Jibrail nay maloom hai kay aap nay kis jagah namaz padhi hai? (kehnay lagay) aap nay Taiba (yani Madina Pak) mein namaz padhi hai, isi ki taraf aap ki hijrat ho gi, phir aik aur maqam par arz kia kay utar kar namaz padh lijiye, mein nay utar kar namaz padh li, Jibrail Alaihis Salaam nay arz kia: maloom hai kay aap nay kahan namaz padhi hai? (phir kehnay lagay) aap nay Toor e Seena par namaz padhi hai jahan Allah Pak nay Hazrat Musa Alaihis Salaam ko hum kalaami ka sharaf ata farmaya tha, phir aik aur jagah arz ki kay utar kar namaz padh lijiye, mein nay utar kar namaz padhi, Jibrail nay arz kia: maloom hai kay aap nay kahan namaz padhi hai? (phir kehnay lagay) aap nay Bait e Laham mein namaz padhi hai jahan Hazrat e Isa Alaihis Salaam ki wiladat hui thi.(Nisai, safha 81, Hadees:448)

*Dauran e Safar kay chand mushahidaat*
Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay Baitul Muqaddas ki taraf jatay huay rastay kay kinaray aik budhi aurat dekhi, Hazrat e Jibrail say daryaft farmaya: yeh kaun hai? Arz kia: Huzoor! badhay chaliye, aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam aagay badh gaye, phir kisi nay aap ko pukar kar kaha: HALUMMA YA MUHAMMAD yani ay Muhammad! idhar aaiye, Hazrat e Jibrail nay phir wohi arz kia kay HUZOOR! badhay chaliye, aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam aagay badh gaye, phir aik jamaat par guzar hua, unhon nay aap ko salam arz kartay huay kaha: ASSALAMU ALAIKA YA AWWALU, ASSALAMU ALAIKA YA AAKHIRU, ASSALAMU ALAIKA YA HASHRU yani ay Awwal! aap par salamati ho, ay Aakhir! aap par salamati ho, ay Hashir! aap par salamati ho, Hazrat e Jibrail Alaihis Salaam nay arz kia: HUZOOR! in kay salam ka jawab marhamat farmaiye, aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay salam ka jawab irshad farmaya, is kay baad musalsal do jamaaton par guzar hua to wahan bhi aisa hi hua.(Dalail un Nabuwwah lil Baihaqi, 2/362)

*Baitul Muqaddas Aamad*
Aik riwayat mein hai kay Huzoor e Anwar Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Baitul Muqaddas mein Bab e Yemani say dakhil huay phir masjid kay paas aaye aur wahan apni sawari bandh di.(Seerat Halbia, 1/523) Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam irshad farmatay hain: mein nay Buraq ko isi halqay mein bandha jahan Anbiya e Kiram apni sawariyan bandha kartay thay, phir masjid mein dakhil hua aur do rakaatein padheen, phir bahar nikla to Bukhari Shareef ki RIWAYAT kay MUTABIQ yahan aap kay paas doodh aur sharab kay do piyalay laye gaye, aap nay unhen mulahiza farmaya phir doodh ka piyala qubool farma lia, is par Hazrat Jibrail ALAIHIS SALAAM kehnay lagay: ALHAMDU LILLAHILLAZI HADAKA LILFITRATI LOU AKHAZTAL KHAMRA GAWAT UMMATUKA yani tamam tareefen Allah AZZA WA JAL kay liye jis nay aap SALLALLAHU TAALA ALAIHI WA AALIHI WASALLAM ki fitrat ki janib rehnumai farmai, agar aap SALLALLAHU TAALA ALAIHI WA AALIHI WASALLAM sharab ka piyala qubool farmatay to aap SALLALLAHU TAALA ALAIHI WA AALIHI WASALLAM ki ummat gumrah ho jati.(Sahih Al Bukhari, safha 1181, Al Hadees : 4709)

*Mushahidaat ki tafseel*
Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam kay Baitul Muqaddas pahunchay kay baad Hazrat e Jibrail nay arz kia: woh budhiya jisay aap nay rastay kay kinaray mulahiza farmaya tha, woh dunya thi, is ki sirf itni umar baqi reh gai hai jitni is budhiya ki hai, jis nay aap ko apni taraf mail karna chaha tha woh Allah ka dushman Iblees tha, chahta tha kay aap is ki taraf mail ho jayen, jinhon nay aap ko salam arz kia tha woh Hazrat e Ibrahim, Hazrat e Musa aur Hazrat e Isa Alaihimus Salaam thay.(Dalail un Nabuwwah lil Baihaqi,2/ 362)

*Anbiya e Kiram ki imamat*
Yeh safar kartay kartay hamaray pyaray Aaqa Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam Baitul Muqaddas tashreef laye jahan Masjid e Aqsa mein Anbiya e Kiram ki imamat farmai, chunanchay aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam farmatay hain kay jab mein Baitul Muqaddas mein aaya to Anbiya e Kiram jama thay, Hazrat Jibrail Alaihis Salaam nay mujhay aagay kia to mein nay un ki imamat ki.(Nisai, safha 81, Hadees:448)

*Anbiya e Kiram kay khutbay*
Masjid e Aqsa mein namaz kay baad baaz Anbiya e Kiram Alaihimus Salaam nay khutbay diye, sab say pehlay Allah kay Khaleel Hazrat e Sayyidna Ibrahim Alaihis Salaam nay kaha: tamam tareefen Allah kay liye jis nay mujhay Khaleel banaya, azeem badshahat ata farmai, Imam aur apna farmanbardar banda banaya, meri iqtida wa pairwi ki jati hai, mujhay aag say nijaat ata farmai aur usay mujh par thandi aur salamati wali kar diya.

In kay baad Hazrat e Sayyidna Musa Alaihis Salaam kehnay lagay: tamam tareefen Allah kay liye jis nay mujh say kalaam farmaya, mujhay apni risalat aur kalimaat kay liye muntakhib farmaya, mujhay raaz kehnay ko qareeb kia, mujh par Taurat nazil farmai, meray haath par Firaun ko halak farmaya aur meray hi haath par Bani Israel ko nijaat ata farmai.

In kay baad Hazrat e Sayyidna Dawood Alaihis Salaam nay kaha: tamam tareefen Allah kay liye jis nay mujhay badshahat ata farmai, mujh par Zaboor nazil farmai, lohay ko meray liye naram farma diya, meray liye parindon aur pahadon ko musakhkhar farma diya, mujhay hikmat aur fasal khitaab ata farmaya.

In kay baad Hazrat e Sayyidna Suleman Alaihis Salaam kehnay lagay: tamam tareefen Allah kay liye jis nay meray liye hawaon, jinnon aur insanon ko musakhkhar farma diya, shayaateen ko bhi musakhkhar farma diya aur ab yeh woh kaam kartay hain jo mein un say chahta hoon maslan buland wa baala makaanaat tameer karna aur tasweeren banana, mujhay parindon ki boli aur har cheez sikhai, meray liye pighlay huay tambay ka chashma bahaya aur mujhay aisi badshahat ata farmai jo meray baad kisi kay liye nahi.

In kay baad Hazrat e Sayyidna Isa Alaihis Salaam nay kaha: tamam tareefen Allah kay liye jis nay mujhay Taurat aur Injeel sikhai, mujhay paidaishi andhay aur korh kay marz walay ko tandurust karnay wala aur apnay izn say murdon ko zinda karnay wala banaya, mujhay aasman par uthaya, mujhay kafiron say pak kia, mujhay aur meri maan ko shaitan mardood say panah ata farmai jis ki wajah say usay meri maan par koi rah nahi.

In sab hazraat kay baad Allah kay Habeeb, Imam ul Anbiya, Sahib e Miraaj Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay khutba diya, khutbay say pehlay aap nay Anbiya e Kiram say farmaya kay tum sab nay apnay Rabb ki sana bayan ki hai, ab mein Rabb ki tareef wa sana bayan karta hoon, phir aap nay is tarah khutba padha: tamam tareefen Allah kay liye jis nay mujhay tamam jahanon kay liye rehmat aur tamam insanon kay liye khush khabri sunanay wala aur dar sunanay wala bana kar bheja, mujh par haq wa batil mein farq karnay wali kitaab ko nazil farmaya jis mein har shay ka roshan bayan hai, meri ummat ko logon mein zahir honay wali sab ummaton mein behtareen ummat banaya, darmiyani ummat banaya aur unhen awwal bhi banaya aur aakhir bhi, meray liye mera seena kushada farmaya, mujh say bojh ko door farmaya, meray zikr ko buland farmaya aur mujhay fatih aur khatim banaya, yeh sun kar Hazrat e Sayyidna Ibrahim Alaihis Salaam nay farmaya: BIHAZA FAZALAKUM MUHAMMADUN yani isi wajah say Muhammad nay tum par fazeelat pai. (Dalail un Nabuwwah lil Baihaqi, 2/ 400, 401)

*Aasmanon ki taraf safar*
Yahan Masjid e Aqsa tak kay mamlaat mukammal huay, ab aasmanon ka safar shuru hua, chunanchay Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam irshad farmatay hain: phir mujhay sawari par sawar kia gaya, Jibrail Alaihis Salaam mujhay lay kar chalay hatta kay woh dunya kay aasman par pahunchay to darwaza khulwaya, poocha gaya: kaun? Farmaya: Jibrail, poocha gaya: tumharay saath kaun hai, farmaya: Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam hain, poocha gaya: kia unhen bulaya gaya hai? Farmaya: haan, to kaha gaya: MARHABA BIHI FANIMUL MAJIU JAA (yani in ko khush aamdeed ho woh khoob aaye) phir darwaza khola gaya, jab mein dakhil hua to wahan Hazrat Adam Alaihis Salaam thay, Jibrail nay kaha: yeh aap kay walid Adam Alaihis Salaam hain inhen salam karo, mein nay unhen salam kia unhon nay jawab diya, phir farmaya: MARHABAN BILIBNIS SALIHI WANNABIYYIS SALIHI (yani saleh farzand, saleh Nabi tum khoob tashreef laye), aap nay mujhay khush aamdeed kaha aur duaye khair farmai.


*Sidratul Muntaha*
Aasmanon kay baad mazeed qurb e khaas ki taraf safar ka aaghaz hua, is baray mein pyaray Aaqa Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam irshad farmatay hain: phir mein Sidratul Muntaha tak uthaya gaya.(Sidratul Muntaha beri ka aik noorani darakht hai) is kay phal matkon ki tarah aur pattay hathi kay kaanon ki tarah thay, jab isay Allah ka koi hukum pahunchta hai to mutaghayyar ho jata hai, Allah ki makhlooq mein aisa aik bhi nahi jo is kay husn ki tareef kar sakay, to Allah nay mujh par wahi farmai jo wahi farmai, Jibrail Alaihis Salaam nay kaha: yeh Sidratul Muntaha hai, wahan chaar nehren theen: do nehren khufia theen aur do nehren zahir, mein nay: poocha ay Jibrail! yeh kia hai? Arz kia kay khufia nehren jannat ki do nehren hain aur zahiri nehren woh Neel aur Furaat hain, phir meray samnay Baitul Maamoor laya gaya, is kay baad meray paas aik bartan sharab ka, aik bartan doodh ka aur aik bartan shehad ka laya gaya, mein nay doodh ka piyala lia to Jibrail Alaihis Salaam nay kaha: yeh fitrat hai, isi par aap aur aap ki ummat hogi.(Bukhari, 2/584, Hadees:3887, Muslim,safha87, Hadees:411)

*Maqam e Istawa*
Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam aasmanon aur Sidratul Muntaha kay baad safar jari rakhtay huay aik maqam par pahunchay jisay mustawi kaha jata hai, wahan aap nay qalamon kay chalnay ki aawazen suneen, is kay baad aap Buraq par sawar huay to is hijab kay paas aaye jo Allah Kareem kay qurb e khaas mein hai, achanak is hijab say aik farishta nikla, Rasool e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay Hazrat Jibrail say farmaya: yeh kaun hai? Hazrat Jibrail nay arz kia: is zaat ki qasam jis nay aap ko haq say saath mabous farmaya, bator e makaan kay mein tamam makhlooq mein sab say ziyada qareeb hoon lekin is farishta ko mein nay apni takhleeq say lay kar ab tak dekha nahi hai.(Tareekh ul Khamees, 1/311)yoon aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam (safar ko jari rakhtay huay) aik maqam say doosray maqam tak, aik hijab say doosray hijab tak gaye, hatta kay aik aisay maqam par pahunchay jahan Hazrat Jibrail ruk gaye, aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay farmaya: ay Jibrail! mujh say alag na ho, arz kia: ay meray Aaqa! hamari rasai bas aik maloom maqam tak hai, mein agar aik baal barabar bhi aagay jaunga to jal jaunga, is raat to mein aap kay ehtiram ki wajah say yahan tak pahuncha hoon warna mera aakhri thikana Sidratul Muntaha hai.(Tareekh ul Khamees, 1/311)

*Hazrat Jibrail ki inteha*
Hazrat Jibrail Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay khud hi farmaya tha kay mera aakhri thikana Sidratul Muntaha hai, lekin Shab e Miraaj Nabi e Pak Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam kay sadqay unhen Sidratul Muntaha say aagay janay ki ijazat mil gai, Hazrat Jibrail kay ruknay kay baad ab Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam akele chalay, aap andheray walay hijabaat say guzartay gaye hatta kay sattar hazar (70000) aisay motay hijabaat say bhi tajawuz kar gaye jin mein say har aik ki tawalat paanch sau (500) saal kay barabar thi, aur har hijab kay darmiyan paanch sau saal ka faasla tha, to aik maqam par Buraq ruk gaya, wahan aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay Rafraf nami aik sabz khema mulahiza farmaya jis ki roshni suraj ki roshni say bhi ziyada thi, aap is kheme par chadhay aur is kay zariye Arsh tak pahunchay. (Tareekh ul Khamees, 1/311) is kay baad aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam mazeed qurb e khaas ki taraf badhay, aap say farmaya gaya, meray qareeb ho jaiye, meray qareeb ho jaiye hatta kay hazar martaba farmaya gaya, aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam har baar pukaray janay par taraqqi kartay gaye hatta kay dana kay maqam par pahunchay, phir mazeed taraqqi kartay gaye to fatadalla tak pahunchay, phir mazeed taraqqi kartay gaye hatta kay apni manzil qaba qausain au adna tak pahunchay jaisa kay Allah Pak nay Quran Kareem mein irshad farmaya, phir aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam apnay Rabb kay qareeb huay, yeh qurb maqam wa martabay kay aitbaar say tha na kay makaan kay aitbaar say, kyunkay Allah Pak makaan say pak hai(ab aap wahan pahunchay jahan, na zaman tha na makan, na oopar tha na neechay, na shimal tha na junub, na mashriq tha aur na hi maghrib, yeh sab na thay, bas Khuda ki zaat thi aur is kay Habeeb thay, jo Quran wa Hadees mein aaya hai is par hamara imaan, mazeed hamen sochnay aur aqal dauranay ki zaroorat nahi) is kay baad aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay Allah Kareem ko sajda kia, kyunkay is martabay ko aap nay Allah Taala ki farmanbardari kay zariye haasil kia, sajdah mein khaas qurb milta hai jaisa kay Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam nay farmaya kay apnay Rabb kay ziyada qareeb woh banda hota hai jo sajda karta hai.(Tareekh ul Khamees, 1/311)

                   *✍️Mutallim Al Jamia Al Ashrafia✍️*