یاد رہے ستم کا آخری نشاں ہم ہوں گے
----------------------------------------
Gul Raza Rahi Arariavi ✍🏻
زمیں سے بے نام و نشان تو سب ہوں گے
پریاد رہے ستم کا آخری نشاں ہم ہوں گے
Aaj jis tareeqe se poore aalam mein Millat-e-Islamiya zawal pazeer hai woh aftab ki tarah wazeh o ayaan aur zahir hai, poori duniya mein Millat-e-Islamiya aur uske pas-e-parda yani banner tale Musalmanon ki nasal kushi horahi hai, woh bhi roz-e-roshan ki tarah ayaan hai-
Poori duniya mein Musalman zalimon ke shikanje mein mahboos aur muqeed hai, kayi hazar jaanein har roz Jaan Afreen ke supurd hoti hain, kayi hazar Musalman salakhon ke andar apni tabahi ke din gin rahe hain, yeh saari cheezein hamare saath isliye pesh aarahi hain kyun ke hum wahn yani buzdili ka shikar hai aur uski wajah hamari aish koshi rahat talabi hai, Muslim takht nasheen log apni takht hukmarani ke dar se aur sahib-e-sarwat Musalman ayyashi ke khatir apni zindagi ko mahfooz rakhne mein lage hain-
Yaqeenan Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman ke: Ek waqt aayega jab tum par dushman aise toot padenge jaise bhooke log bartan pe toot padte hain,
Sahaba-e-Kiram ne arz kiya ke aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam kya hum us waqt kam honge yani hamari tadaad kam hogi, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke nahi balki woh tum se zyada tadaad mein hone ki bawajood pani ke jhaank ke maanind honge jisko pani baha le jata hai, Sahaba ne arz kiya ke aisa kyun hoga to aap ne farmaya ke ummat wahn yani buzdili ka shikar hogi -
Aaj hum buzdil hogaye hain jis ki buniyad par zalim aaj ek aisi qaum ko aankhen dikha raha hai jis ka maazi tabnak o roshan thi, jis ke aslaf shujaat o basalat ke ameen o pasban the, himmat o jawaan mardi jis ke ghar ki laundi thi, shamsheer zani, neza bazi, teer andazi, ghud sawari jis ka behtareen mashghala tha, maut se bebaki is qadar thi ke ilm-e-Islam ki bulandi ke liye kabhi bhi dushmanon ke muqabla arai se peeche nahi hate, saari duniya jis ke azeematon ka qail o mutarif thi, maut ko gale lagane mein jis ne kabhi bhi ek lamha ke liye nahi socha, maut jis ke zindagi ki hifazat karti thi, jis ka naam sun kar dushmanon ke paseene chhoot jate the aaj us ki naslein aman o sukoon aur zindagi ki bheek maang rahi hai,
Socho to sahi yeh sab tumhare aslaf the, tumhare ruhani aabao ajdad the -
Aaj tum rote bilakte ho, har din khauf ke saaye mein guzar rahe ho, qadam ba qadam tumhare saron par khatra mandla raha hai, bum barood ki aawazein tumhein dhamka rahi hai, shaitani naare aur alam tumhare mabdon, darsgahon aur shahrahon pe lagaye ja rahe hain,
Tumhare aabao ajdad ki wirasatein jo unhone banam-e-Khuda kargaye aaj asnam parast muqtadar log khud ki milkiyat banakar manmani tasarrufaat karna chahte hain-
Har din ek nayi dastaan aur ek naya waqia tumhare saath pesh aata hai jo Millat-e-Islamiya ke dilon ko jhanjhor kar rakh deta hai,
Aaj hum kayi milli o samaji masail ka shikar hain, kuch zeher aalood Hindu Yahood hamare khilaf munazzam saazishein kar rahe hain -
Mansuba bandi aur bade shatir andaaz mein hamare wujood ko adam mein tabdeel karna chahte hain
Hairat o istejaab aur bade dukh ki baat hai ke hamare qaum ke zameer farosh, darbari log ohdon aur manasib ke hirs o tama ki khatir hukkaam wuzra ke talwe chatne aur joote seedhe karne mein masroof-ul-amal hain -
Hamare ahl-e-khana biradar o khwahar madar o pidar mein jahalat is qadar hai ke woh dushman ko dost, zeher ko tiryaq, aur qatil ko muhafiz samajh rahe hain-
Kam se kam hamare gharon mein har ek fard ko itni moti baat wazeh taur samjh aani chahiye ke kaun hamare haq mein behtar aur kaun badtar hai, aur millat ke bashaoor logon ki zimmedari hai ke woh beshaooron ko aagahi dein aur unhein zaroori baatein samjhana aur batlana hamara imani fareeza hai,
Lehaza apne ghar ke afraad khusoosan apni maaon, behnon ko in badkhwah logon se bachaye aur unke daam-e-fareb ke shikar hone se bachayen -
Agar hum ne apne khauf o wahshat aur buzdili ko door na kiya, aur aish koshi ko na chhoda, imani jazbaat ko na jagaya, Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam o Sahaba-e-Kiram ke tarz-e-zindagi ko na apnaya to sun lo!
Zameen se benaam o nishan to sab honge
Par yaad rahe sitam ka aakhri nishan hum honge
Allah Ummat-e-Muslima ko bedar maghzi ata farmaye Ameen