Saadia Fatima Abdul Khaliq
Nanded Maharashtra
8485884176
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
*Mujhe Marna Nahi Hai*
Shelf mein kitabein rakhne ke dauran ek kaghaz lehrata hua neeche gira, usne foran se utha kar check kiya, tab hi use yaad aaya ke yeh toh maan ki tehreer hai, barson pehle likhi gayi tehreer aaj bhi zindagi ka dars de rahi hain, usne tehreer ko bahut mohabbat bhari nigahon se chooma use yaad aaya ke maan ne kitne behtareen andaaz mein rehnumai ki hai, farrat e musarrat se aankhen bheeg gayin,
Dada ji ke inteqal par woh bahut phoot phoot kar royi thi, aur dada ji ki judai se pareshan hokar woh maan se baar baar kehti, maan mujhe marna nahi hai, mein marna nahi chahti, maan use samjhaya karti, ke tum padhai par dhyan do, abhi bahut saal padhna hai, phir ek din maan ne use ek likha hua kaghaz diya aur kaha, beta ise sambhal kar rakhna, is mein likha hai hamesha hamesha ke liye zinda rehne ke liye kiye jane wale kaam ۔۔۔۔۔۔۔
Tehreer aaj bhi zinda thi, maan ne likha tha ke,
Agar tumhein hamesha zinda rehna hai toh, insano ke saath insaniyat ka bartao rakho,
burai ka jawab achhai se diya karo, tum hamesha zinda raho gi, log dil se tumhara naam len ge
Usne dubdubai aankhon se tehreer ko dekha aur socha
Maan tum hamesha zinda hi ho ۔۔۔۔۔