Mera Bachpan, Mera Jugnu, Meri Gudiya Laa De
✍️Khama Bakaf Muhammad Palanpuri
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
Abhi tadrees se farigh ho kar nikla hi tha ke ek jigri yaar ka phone aaya, baaton ka silsila yun chala ke haal se maazi tak ka safar pal bhar mein tay ho gaya. Baat badhte badhte bachpan ki dehleez par ja ruki. Kehne laga ke is baar chuttiyon mein tu aaye to zara wahan baithenge, maine kaha, kahan? To bolne laga are wohi jagah jahan gulli danda khela karte the!
Maine hanste hue kaha yaar! Ab to waqt fursat kahan? Is baar to tere bhai ki chaar aankhen hone wali hain! Magar sach yeh hai ke is ek jumle ne dil ke nahan khanon mein soyi hui yaadon ko jaga diya۔۔۔۔۔۔۔۔۔
Yeh zamana bhi kaisa ajeeb hai jab umar ki daud insaan ko jawani ki us waadi mein la khada karti hai jahan zimmedariyon ka bojh kandhon ko jhuka deta hai tabhi kahin dil ke kisi kone se bachpan ki mitti mehakne lagti hai.....
Woh masoom shararatein.. woh dadi amman ka kahaniyon mein choron ka sansani kheez zikr karna.. woh parindon ke peeche bhagna.. woh baarish ke baad mitti mein chamakte ahmer motiyon ki talaash karna.. woh mitti mein Taj Mahal banana aur phir us par fakhr se muskurana.. woh babool ke darakht par rassi daal kar charpai ka jhoola bandhna aur phir hawa se baatein karna.. woh shaam ko walid mohtaram ki mushfiqana daant ka lutf lena.. woh madrase ki raah khelte, koodte, hanste, shararat karte hue uboor karna.. woh aangan ki daudam daudi, chupam chupai.. woh kheton mein gulli danda.. woh school ke waqfe ka shor.. woh behnon ko chhedna aur phir ami ki maar ke khauf se jaan bacha kar bhagna.. woh ustad ko tang karna.. woh dua ke waqt chupke se hansi mazaq.. woh school ki deewar phalang kar ghar aa jaane ka karname.. woh rona, rulana.. woh hansna, hansana.. woh cheekhna, chillana.. woh chidna, chidana..... Haye! Kaisa yeh masoom, be fikr zamana, kahan se laoon yeh wapas masoom bachpana........
Sach kaha kisi ne
Kuch nahi chahiye tujh se meri umr-e-rawan
Mera Bachpan, Mera Jugnu, Meri Gudiya Laa De.....