Waqt Kia hai... Waqt aik mauqa hai, mohlat hai.
Waqt woh hai jise ganwana aasaan hai.
Waqt woh hai jiske guzarne se insaan hairaan hai.
Waqt woh hai jo har aik ka mehman hai.
Aur waqt aik ibrat ka nishaan hai.
Har din naya din hota hai, insaan iske andar jo aamaal karle woh mehfooz ho jata hai aur jo haasil karle woh mehfooz ho jata hai, phir yeh din toh kia iska aik lamha bhi taa qayamat muyassar nahi aane wala.
Har din, har pal, har ghari qeemti jawahraat se kahin zyada qeemti aur qabil-e-qadar hai.
Waqt barf ki tarah hai, balkeh is se bhi zyada nazaakat liye huwe.
Barf toh pighal kar pani ban jata hai makhsoos temperature par.
Magar waqt is tarah pighalta hai keh ehsaas bhi nahi ho pata aur na hum ise rokne ki taaqat rakhte hain, na pakarne par qudrat.
Aur isi tarah hamari umar waqt ke har second ke saath guzarti chali jati hai.
Magar qudrat ka insaaf toh dekhen keh waqt ke bare mein kaisi barabari rakhi.
Ghareeb, ameer, zaeef, nadaar, naujawan, bachche,
mard, aurat, aqalmand, nadan, sabko yaksaan mohlat mili.
Har aik ko chobis ghante masawi taur par mile hain.
Sirf zaroorat is baat ki hai keh hum ise behtar tareeqe se istemaal kar saken.
Agar yunhi kaam ko bila wajah multawi karte rahe, kabhi fazool majalis mein baith kar, kabhi baaten karke, kabhi nafs ke hathon,
toh yaad rahe keh dekhte hi dekhte hum qabar mein honge aur jis adam-e-fursat ke shikwe dunya mein karte the woh bhi maujood hogi.
Ba wajood yeh keh kaam karne ka mauqa, aakhirat banane ka mauqa, yeh mohlat, yeh ne'mat aap se juda ho chuki hogi.
Isliye khudara waqt rehte huwe waqt ki qadar karlen.
Allah humen waqt ko apni razamandi wale kamon mein istemaal karne ki toufeeq marhamat farmaye...Aameen Ya Rabbul Aalameen.