سعدیہ فاطمہ عبدالخالق 
Nanded Maharashtra 
8485884176

*Zalimo... Apni qismat pe nazan na ho* 

Allah Ta'ala ne insaan ko ilm ka tohfa diya aur insaan ne usi ilm se masnui zehanat tak rasai hasil kar li aur wohi masnui zehanat ko apni ana mein, barbadi ke liye istemal karne laga hai, aaj duniya ke har khitte mein, har mulk ne, apni pehchan bana rakhi hai, kisi ne jamhuriyat mein, kisi ne qawanin mein, kisi ne taqat mein..... lekin in se bhi ziyada hum sab ke liye super power zaat wahid la shareek ki hai, jin ke qawanin ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne zameen par phailaya aur rehti duniya tak yahi taleemat rahegi jo aakhirat ka sauda banegi, jis ne inhen follow kiya dono jahanon mein jeet gaya, lekin zameen par har daur mein kuch logon ne Allah se nafarmaniyan ki aur khud ki taqat aur waqt ko challenge kiya, yahi silsile ki kadi mein apne aap ko super hero kehlanay wala ,,Israel,, hamesha dusri zamini taqaton ke sahare khud ko powerful ke challenge mein masroof hai, jis ki nazar Qibla Awwal par jami hai ke..... 
Israel ki tareekh par ek nazar dalte hain ke aaya yeh khud se hai ke dusron ke maal par niyat kharab..... 
Israel (Ibrani) Maghribi Asia ka ek mulk hai jo Bahr-e-Room ke junub mashriq ki sahil par waqay hai is ke shimal mein Lubnan, shimal mashriq mein Shaam, mashriq mein Urdun, junub mashriq mein Filisteen aur junub mein Misr, Khaleej Aqaba aur Bahr-e-Ahmar waqay hain, Israel khud Yahudi Jamhuriya kehlata hai aur yeh duniya mein wahid Yahud aksariyati mulk hai, 
29 November 1947ء ko Aqwam-e-Muttahida ke General Assembly ne Filisteen ki taqseem ka mansooba tayyar kiya, 14 May 1948 ko David Ben-Gurion ne Israel mulk ke qiyam ka ailaan kiya, yeh ailaan mandate ke khatme se ek din qabl David Ben-Gurion ne kiya, 
Israel ka maashi markaz Tel Aviv hai, jab ke sab se ziyada aabadi wala aur sadr maqam Yerushalem ko kaha jata hai ta hum bain ul aqwami taur par Yerushalem ko Israel ka hissa nahi mana jata is liye is aitbaar se Israel mein, Filisteeni, Ashkenazi Yahudi, Mizrahi Yahudi, , Sephardi Yahudi, Yemeni Yahudi, Ethiopian Yahudi, Bahraini Yahudi, Badu aur deegar be shumaar giroh maujood hain, is ke alawa Masihi aur Africi mumalik se aane wale panah guzeen aur deegar mazhab ke afraad bhi yahan rehte hain, 
Israel mein numainda jamhuriyat hai aur parliani nizam chalta hai rai dehi sab ko hasil hai, Wazir-e-Azam hukumat ka sarbarah hota hai aur ek aiwani parliament hai, waise dekha jaye to kisi dusre ki khud mukhtariyat chheen'ne ka haq nahi hai, lekin 
Israel dusre ki khud mukhtariyat chheen'ne ka haq khoob jaanta hai, kisi ke mulk par qabiz ho kar khud ko taqatwar batane ke hunar mein khoob aage hai, misaal maujood hai ke 
Hindustan ne Wazir-e-Azam Indira Gandhi ke zamane mein Bangladesh ko aazad karwane mein madad ki to kya is par qabiz ho gaya nahi, balkeh takleef aur museebat mein madad ki thi, jo ke ek insaniyat ka fail hai, lekin Israel mein shiddat pasandon ka khwab ,,Greater Israel,, hai, yeh hamesha padosi mulk par qabza karne ka khwab rakhte hain, 
Filisteen ki taqseem aur Israel ka qiyam duniya ki tareekh ka ek intehai makrooh aur afsosnak bab hai, Israel ko qaim kar ke maghribi mulkon aur Roos ne ek aise ilm ki bunyad dali jis ki tareekh mein kam misalen milegi, America aur Europe ke Yahudiyon ko hazaron meel door se la kar Arabon ki sar zameen par aabad kiya gaya aur lakhon Arabon ko jo sadiyon se Filisteen mein aabad the un ke aabai gharon aur zaminon se nikal kar be dakhal kar diya gaya, lekin mamla sirf yahin pe khatam nahi hua balkeh Israel ke apne najaaiz wujood ko qaim rakhne ke liye Arabon ke khilaaf is ke jarhana karwaiyan bade zor o shor se jari rahin yeh woh Filisteen jise baja taur par Hazrat Anbiya aur Rasool ke sar zameen kaha jata hai, Hazrat Ibrahim Alaihi Salam ne apna tableeghi markaz isi mulk ke shehar ,,Hebron,, mein qaim kiya tha, Hazrat Ishaq Alaihi Salam aur Hazrat Yaqub Alaihi Salam ne isi zar zameen mein haq ki aawaz buland ki thin, Hazrat Musa Alaihi Salam ki arz mauood yahi sarzameen thi, Hazrat Daud Alaihi Salam ki sarzameen, Hazrat Suleman Alaihi Salam ki hukumat ka markaz yahi khitta tha, Hazrat Suleman Alaihi Salam ne Filisteen hi ke shehar Bait ul Muqaddas mein khushkhabri sunai, Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Meraj ke mauqe par isi muqaddas sar zameen mein waqay Masjid Aqsa se Arsh ki taraf tashreef le gaye aur Islam ke ibtedai salon mein yahi Masjid Aqsa Musalmanon ka Qibla Awwal rahi, kai Jaleel ul Qadr Sahaba jin mein Abu Ubaidah bin Al Jarrah Fateh Shaam bhi Filisteen mein madfoon hain, Arabon ke poore daur mein Lubnan aur Urdun ki taraf Filisteen bhi ilaqa Shaam ka ek hissa samjha jata tha, Saljuqiyon ke zawal ke baad barahwin aur terahwin sadi mein yeh khitta dedh do sau saal tak Hilal o Saleeb ki razm gah bana raha aur yahi ,,Hattin,, ke maidan jang mein Hazrat Sultan Salahuddin Ayyubi Rehmatullah Alaihi ne Saleebiyon ko shikast de kar Bait ul Muqaddas ko aazad karwaya, 
 Israel kisi mazhab ko nahi manta siwaye khud ke, is ki zehniyat yeh hai ke main hi Allah ka muqarrab hun, (Tauba hai) 
Bain ul aqwami qanoon ki sab se khilaf warzi karne wala mulk Israel, Azza Filisteen ke hospitalon par bomb dalne wala mulk Israel, schoolon par bomb dalne wala mulk Israel, logon ke mazhabi prarthna par, masjidon par bomb dalne wala mulk Israel, masoom bachon par bomb dalne wala mulk Israel, masoom bachon ki sab se ziyada halakat agar kisi ne ki hai to woh Israel hai, ...... ise dar hai ke yeh bachche aage meri nai nasal par bhari padne wale hain, Israel insani huqooq ki tabahi ka alambardar hai ..... Israel ki maujooda surat e haal ek nihayat pechida aur hassas masla ban chuki hain, jis ke mukhtalif siyasi, askari, maashi aur insani ,,pehlu hain,, kab tak chhupegi kare patton ki aad mein,, .....
Surah Al An'am ki aayat ke.....
Woh Allah hi hai jis ne tum ko zameen ka khalifa banaya aur tum mein se baaz ko baaz ke muqable mein ziyada buland darje dene taake jo kuch tum ko diya hai is mein tumhari aazmaish kare, be shak tumhara Rab saza dene mein bhi bahut tez hai aur bahut darguzar karne aur rahm farmane wala bhi hai, (Al-An'am:165)
 Kabhi to Filisteen mein sattar hazar se ziyada log shaheed ho chuke the, aur Gaza malbe ka dher ban chuka tha, Lubnan ke Hizbullah ko bahut kamzor kiya ja chuka tha, aur Israel jahan chahta tha Musalmanon ko maar deta tha, 
Israel aur America ne mil kar 2026 mein Mah Ramzan ul Mubarak ki das tareekh ko Iran par hamla shuru kiya, pichle saal bhi is ne barah roz tak Iran se jang ki thin, aaj 
 Israel ka fazai difai nizam khatam ho chuka hai, Iran aur Hasbullah ne mil kar Israel par ek ghante mein ek sau rocket phenke hain, Iran ne bhari bombari kar ke un ke bashindon ko mulk chhodne par majboor kar diya hai, dusri taraf Aabna-e-Hormuz poori tarah se Iran ke control mein hain, Iran se yeh tay shuda hai ke dushman ko dobara hamle ke qabil nahi chhoda jayega, Israel Islam ke dushman ko tamam Ummat-e-Muslima ki haye hai poori Ummat-e-Muslima Iran ke saath khadi hai, chah to yahi rahi hai ke Israel ka khatma aur Filisteen Bait ul Muqaddas ki aazadi InshaAllah, ..... Musalmanon ke sabr ka aalam yeh hai ke Ramzan ul Mubarak ke baad Eid ul Fitr ke mauqe par Israel ka anjam kisi ki nazron se chhupa nahi hai, Gaza ke bachon ki shahadat yunhi nahi hui, Filistiniyon ki shahadat ka badla yeh hai ke kai taqaton ka sahara lene wala Israel aaj kai taqaton samet khai mein utarta ja raha hai, mulk ki sab se badi maeeshat kham tail, jise asli roop mein lane tak kai stage par sood mand, ..... kham tail, jise tabdeeli ke dauran ka sab se oopri hissa 
Liquid gas, ..... 
Kham tail Crude oil ke ek barrel taqreeban (42 gallon) ko refinery mein process karne ke baad is se mukhtalif masnuaat ke mukhtalif hajm bante hain is se taqreeban 19 gallon petrol, 10 gallon diesel aur deegar masnuaat (jet, fuel, heating aur oil asphalt) banti hain, kul hajm barrel ki asal hajm se thoda badh sakta hai, petrol sab se ziyada taqreeban 45 se 50 feesad diesel aur deegar indhan ..... 
 Baqi manda hissa mein masnuaat jet fuel chikna karne wale maade hain, Lubricants aur petrochemicals, yeh tanasub sab refinery ki technology aur kham maal ke qism par munhasir hai, aur Iran ne is par apni marzi se supply muqarrar kiya hai, jang ka asar sirf maidan jang hi nahi balkeh poori duniya par hota hai, Aabna-e-Hormuz ke band hone ki surat mein khane peene ki ashya samet aalmi tijarat aur taraqqi ke liye ahem khatrat se khabardar kiya gaya hai, Aabna-e-Hormuz ki bandish ashya e zarooriya qeematon mein izafa hai, jis ke sabab duniya ke kamzor tabqat ki zindagi par museebat hai, 
Tareekh ke waqiat batate hain ke jango ne kai halaat ko badal diya hai, yahan bhi jang, tareekh badal rahi hai, 
Mazloom insaanon aur Musalmanon ki khwahish yahi hai ke yeh jang Israel ke mukammal khatme aur Filisteen aur Bait ul Muqaddas ki mukammal aazadi tak jari rahe, jabran jang musallat karne walon ko nahi chhodna chahiye yahi aakhri mauqa he Israel ko tabah o barbaad karne ka. aur is se achcha mauqa Arabon ko kabhi nahi mil sakta American fauji addon ko khatam karne ya apne ilaqon se jaan chhurane ka, tees tees, chalis chalis saal se yahan American fauji qabiz hain. Arabon ko chahiye ke Iran ka shukriya ada karen. kam se kam is bahane Americanon ko yahan se bhagaen aur Iran ka bhar poor saath den.
 Arabon ko samajhna chahiye ke Allah Ta'ala ne Muslim mumalik ko kya kya ne'maton se nawaza he, Subhan Allah 
 Agar Musalman apne hawai raste aur behri raste band kar den to sari duniya ke mumalik ek dusre se munqata ho jayenge, agar petrol bhi band kar den to sari duniya mein qaht shuru ho jayega ..... Allah Ta'ala ne Ummat-e-Muhammadiya ko Ummat-e-Wasat banaya aur Muslim mumalik ko duniya ke wasat (center) mein rakha, aur Allah Ta'ala ne Ibrahim Alaihi Salam ke zariya Makka ki tameer karwai aur ise duniya ke center mein rakha taake aap sari duniya ke sarkash mumalik ko control kar saken, lekin sare Arab ulta ghulam bane hue hain (maakhuz) ....... Behar kaif ab behtareen mauqa hai Arabon ko Iran se mil kar apni khoi taqaton ko bahaal karne ka ...... jab tak Israel tabah nahi ho ja ta koi jang bandi muaahida nahi karna chahiye, kai dafaa muaahide karne ke bawajood Israel America muaahide todte rahe hain aur Filisteen samet Arab mumalik ki eint se eint baja diye balkeh petrol se petrol jala diye ..... mazloom ki aahen kabhi raigaan nahi jayengi, Filisteen o Gaza ki woh masoom janen, woh be bas maaon ki tadap un ki aahen bekar nahi jayegi, khud par zulm ho to muzakarat ki soojhti hai dusron par zulm karte ho to kehte hain ke yeh isi laiq hai, pichle do salon se hazaron Filistiniyon ka qatl e aam aur nasal kashi duniya ke "saat arab log balkeh Arabon" samet sab dekh rahe the, Banu Nazeer, Banu Qainuqa ki tarah Filisteen ka muhasra karke Israel o America mil kar Filistiniyon ko bhookon rakh kar masoom bachon ki nasal kashi kar rahe the, magar kisi ne jang bandi ka naam nahi liya ..... jab apni bari aai to Yahud o Nasara wawela machana shuru kar dete hain, muzakarat par dhyan jata hai, khud ki jaan ki ahmiyat hai dusron ke janon ki ahmiyat nahi ..... kai chalakiyon ko dohraaya jata hai, 
Behar haal ek saazish ke tehat duniya mein Covid virus ke bahane duniya ko jakad kar rakh diya tha, sari duniya ko ek saath muqaffal kar ke apne plan ko mukammal kar rahe the, Covid ke waqfe par gaur karen sirf construction ke kaam ko dheel di gai thi, ghareeb tabqa kuch waqfa mehnat kar raha tha aur maghribi mumalik isi construction ke naam par apne tower nasb kar rahe the, jis mein aisi chip muqaffal ho jis ka connection Kane Dajjal se ho, Khaleej ke akhbarat yahi baat likh rahe the to akhbarat ke liye khauf taari kiya gaya ke akhbarat ko haath na lagaen virus hai, mukammal bada virus khud maghribiyat hi hai, 
Aur ab ek nai saazish ke tehat Musalmanon par jang musallat karke duniya ko jakadne ki koshish ki ja rahi he ..... Behar kaif jab tak duniya ka regime Israel tabah nahi hota aur Filisteen ko mukammal Filistiniyon ke hawale nahi karta is par "tabad tod hamle karte rehna chahiye balkeh is ki pusht panahi taqaton ka bharam todte rehna chahiye ..... ,, kya tumhara khuda hai hamara nahi,,  
Aise halaat mein hamare liye Eid ka mauqa, hum ne pichle saal Gaza ke bachon ki bhook, pyas ko mad nazar rakhte hue, rozon ke baad Allah ka inaam samajh kar sanjeedgi se Eid manai thi, lekin in hi shaheedon ki qurbaniyon ka badla hai ke is Eid tak Allah Ta'ala un ke waqt ka pher kar diya, 
Duniya mein Eid Musalmanon ke liye khushi shukr guzari aur masarrat ka din hota hai, yeh woh mauqa hai jab Musalman Ramzan ul Mubarak ki ibadaat ke baad Allah Ta'ala ka shukr ada karte hain aur aapas mein mohabbat, ukhuwat aur bhai chare ka izhaar karte hain, Eid ka paigham sirf khushi manana nahi hai, balkeh insaniyat, aman aur insaaf ko farogh dena bhi hai, aaj ke daur mein jab duniya ke mukhtalif khitton mein tanazuaat aur jangi halaat maujood hain, khusoosan mashriqi wusta mein jari kashidgi jaise masail, jin mein Israel aur Filisteen ..... aise halaat mein Eid ka paigham mazeed ahmiyat ikhtiyar kar jata hai, 
Ek taraf Israel ki tabahi aur dusri janib hamari Eid ki khushiyan ..... 
Eid ul Fitr Musalmanon ke liye khushi, shukr guzari aur bhai chare ka paigham le kar aati hai, Ramzan ul Mubarak ke babarkat mahine ke baad jab Eid ka chand tulu hota hai to har Musalman ke dil mein masarrat ki ek nai lehar daud jati hai, yeh din Allah Ta'ala ki ibadat, sabr aur taqwa ke baad inaam ke taur par ata hota hai. Musalman is din naye kapde pehnte hain, ek dusre ko mubarakbad dete hain aur khushiyan bantte hain, 
Khas taur par Filisteen ki sar zameen par jari zulm o sitam ne har sahib e dil ko be chain kar rakha hai, Gaza aur Filisteen ke mazloom awam musalsal mushkilat aur musaibat ka samna kar rahe hain, be gunah insaanon ki janen ja rahi hain, gharon ko mismar kiya ja raha hai aur masoom bachon ke chehre khauf aur dard ki kahani sunate nazar aate hain, 
Aise halaat mein Musalman jab Eid ki khushiyan manate hain to un ke dil Filisteeni bhaiyon ke saath bhi dhadakte hain, Islam hamein sirf apni khushi tak mahdood rehne ki taleem nahi deta balkeh mazloomon ke dukh dard mein shareek hone ka dars deta hai, yahi wajah hai ke Eid ke mauqe par Musalman khusoosi duaen karte hain ke Allah Ta'ala mazloomon ki madad farmaye aur duniya mein aman o insaaf qaim ho, 
Israel ki jarhiyat aur zulm ke bawajood yeh haqeeqat bhi wazeh hai ke zulm hamesha baqi nahi rehta, tareekh gawah hai ke jab bhi zulm had se badhta hai to is ka anjam tabahi hi hua hai, insaaf aur haq ki aawaz ko kabhi dabaya nahi ja sakta, duniya ke mukhtalif mumalik aur insaniyat se mohabbat rakhne wale log bhi aaj Filisteen ke mazloomon ke haq mein aawaz buland kar rahe hain, 
Eid ka asal paigham bhi yahi hai ke insaan mohabbat, hamdardi aur insaaf ko farogh de, hamein chahiye ke apni khushiyon ke saath saath mazloomon ko bhi yaad rakhen, un ke liye dua karen aur jahan tak mumkin ho un ki madad karen, yahi haqeeqi Islami ukhuwat aur insaniyat ka taqaza hai, 
Aakhir mein dua hai ke Allah Ta'ala duniya mein aman o sukoon qaim farmaye, mazloomon ki madad kare aur hamein aisi Eiden naseeb farmaye jin mein poori insaniyat aman aur khushhali ke saath zindagi guzar sake, Eid Musalmanon ke darmiyan ittehad aur yakjehti paida karne ka behtareen mauqa hai, nai umeed ke saath zindagi ka aaghaz karte hain, aaj ke naujawan nasal par khas zimmedari aaid hoti hai ke woh jazbaat ke bajaye ilm, tehqeeq aur hikmat ke saath duniya ke masail ko samjhen, taleem, mukalma aur insani hamdardi ke zariye hi behtar mustaqbil ki tameer mumkin hai, InshaAllah