*Ahkam-e-Ramzan-ul-Mubarak*


*Hukm-e-Dakar Aur Qay Ke Wapas Laut Jane Ya Lauta Lene Ka Hukm*

Agar khud ba khud qay aayi ya jaan boojh kar qay ki magar munh se bahar nahi nikli balkay khud hi wapas laut gayi ya qay karne wale ne apne irade se wapas lauta li to yeh tafseel hogi 

1))۔ Agar dakar lene ki wajah se munh mein kuch khana ya salan aa gaya aur woh khud ba khud wapas laut gaya to roza nahi tootega albatta agar dakar lene wale wale ne apne irade se chane ke barabar ya is se ziyada ko wapas lauta liya to phir roza toot jaye ga, aur chane se kam hone ki surat mein roza nahi tootega.

2))۔ Agar kisi ko khud ba khud qay aayi aur woh thodi thi phir khud hi wapas laut gayi tab bhi roza nahi tootega albatta agar qay karne wale ne apne irade se chane ke barabar ya is se ziyada ko wapas lauta liya to phir roza toot jaye ga aur chane se kam hone ki surat mein roza nahi tootega.

3))۔ Kisi ko khud ba khud qay hui aur woh *munh bhar* kar thi phir khud ba khud wapas laut gayi tab bhi roza nahi tootega albatta agar qay karne wale ne apne irade se usay wapas lauta liya to phir roza toot jaye ga chahay chane se kam ho ya ziyada؛ 

4))۔ Kisi ne jaan boojh kar qay ki aur woh thodi thi phir achanak se khud ba khud hi wapas laut gayi to is surat mein bhi roza nahi tootega albatta agar qay karne wale ne apne irade se chane ke barabar ya is se ziyada ko wapas lauta liya to phir roza toot jaye ga

5))۔ Kisi ne jaan boojh kar qay ki aur woh *munh bhar* kar thi to usay wapas lautaye ya nahi dono suraton mein roza toot jaye ga. 
٘
*Agar qay ho jane ke baad kuch kha pi le to?*
Jaisa ke abhi bataya gaya ke agar kisi shakhs ko khud ba khud qay ho jaye to roza nahi tootega lekin kisi ko yeh masla maloom na tha is ne samjha ke shayad roza toot gaya hoga, chunanche is ne qay ho jane ke baad jaan boojh kar kuch kha liya ya pi liya to ab is ka roza toot jaye ga, aur sirf ek din ki qaza wajib hogi, kaffara wajib nahi hoga.