Ahkam-e-Ramzan-ul-Mubarak 
 

 Woh uzr jin se Ramzan mein roza na rakhne ki ijazat hoti hai: 
(1) Bimari ki wajah se roze ki taqat na ho, ya marz badhne ka shadeed khatra ho toh roza na rakhna jaiz hai, baad Ramzan is ki qaza lazim hai.
(2) Jo aurat hamal se ho aur roza mein bachcha ko ya apni jaan ko nuqsan pahunchne ka andesha ho toh roza na rakhe, baad mein qaza kare.
(3) Jo aurat apne ya kisi ghair ke bachcha ko doodh pilati hai, agar roza se bachcha ko doodh nahi milta, takleef pahunchti hai toh roza na rakhe phir qaza kare.
(4) Musafir shara'i (jo kam az kam artalis mail ke safar ki niyat par ghar se nikla ho) is ke liye ijazat hai ke roza na rakhe, phir agar kuch takleef wa diqqat na ho toh afzal yeh hai ke safar hi mein roza rakh le agar khud apne aap ko ya apne sathiyon ko is se takleef ho toh roza na rakhna hi afzal hai.
(5) Bahalat-e-roza safar shuru kiya toh is roze ka pura karna zaroori hai aur agar kuch khane peene ke baad safar se watan wapas aa gaya toh baqi din khane peene se ehtraz kare, aur agar abhi kuch khaya piya nahi tha ke watan mein aise waqt wapas aa gaya jab ke roze ki niyat ho sakti ho yani zawal se dedh ghanta qabl toh is par lazim hai ke roze ki niyat kar le.
(6) Kisi ko qatl ki dhamki de kar roza todne par majboor kiya jaye toh is ke liye tod dena jaiz hai phir qaza kar le.
(7) Kisi bimari ya bhookh pyas ka itna ghalba ho jaye ke kisi Musalman deendar mahir tabeeb ya doctor ke nazdeek jaan ka khatra lahaq ho toh roza tod dena jaiz; balkeh wajib hai aur phir is ki qaza lazim hogi.
(8) Aurat ke liye ayyam-e-haiz mein aur bachcha ki paidaish ke baad jo khoon aata hai yani nifaas is ke dauran mein roza rakhna jaiz nahi. In ayyam mein roza na rakhe baad mein qaza kare. Bimar, musafir, haiz wa nifaas wali aurat jin ke liye Ramzan mein roza rakhna aur khana peena jaiz hai in ko bhi lazim hai ke Ramzan ka ehtaram karein, sab ke samne khate peete na phirein.

Wallahu Aalam bis-Sawab