Shikwa nahi, shukr ka mizaj banaiye
Har kaam mein shikwe shikayat ka mizaj bhi insaan ko barbaad kar deta hai aur is cheez ka musalsal tazkira zehni taur par insaan ko mafluj bana deta hai.
Har kaam mein khair ke pehlu talash karne ke aadi banein, apna mizaj shukr wala banayein. Har waqt Allah ke inaamat ka tazkira karte rahein aur un par barabar shukr karte rahein.
Is ki barkat se ehsas-e-kamtari kam hote hote khatam ho jaye gi.