*Shab e Meraj un Nabi Al Kareem ﷺ*
*Jannati wa Jahannami Arwah*
(Qist e Sani)
Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam ne Hazrat e Adam Alaihis Salam ke dayein bayein kuch logon ko mulahiza farmaya, jab aap apni dayein janib dekhte to hans parte hain aur jab bayein janib dekhte to ro parte hain. Hazrat Jibreel ne arz kiya, in ke dayein aur bayein janib jo suratein hain yeh in ki aulad hain, dayein janib wale jannati hain aur bayein janib wale jahannami hain. *(Bukhari, 1/140, Hadees:349)*
Huzoor e Akram Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam irshad farmate hain phir mujhe Jibreel Alaihis Salam upar le gaye hatta ke dusre aasman par pahunche darwaza khulwaya, pucha gaya kaun? Farmaya Jibreel, pucha gaya tumhare saath kaun hai? Farmaya Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam, pucha gaya kya inhen bulaya gaya hai? Farmaya haan, kaha gaya: Khush aamdeed tum bahut hi achcha aana aaye, phir darwaza khol diya gaya, jab mein andar pahuncha to wahan Hazrat Yahya Alaihis Salam aur Isa Alaihis Salam the, Jibreel Alaihis Salam ne kaha yeh Yahya Alaihis Salam hain aur yeh Isa Alaihis Salam hain, inhen salam karo. Mein ne salam kiya, in dono ne jawab diya, phir unhon ne kaha MARHABAN BIL AKHIS S’SALIHI WAN NABIYYIS S’SALIH (Saleh bhai Saleh Nabi aap khoob aaye) unhon ne mujhe khush aamdeed kaha aur duaye khair ki, phir Jibreel Alaihis Salam mujhe teesre aasman ki taraf le gaye, darwaza khulwaya, poocha gaya kaun? Farmaya: Jibreel, pucha gaya: tumhare saath kaun hai? Farmaya Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam hain, pucha gaya inhen bulaya gaya hai? Farmaya haan kaha gaya khush aamdeed tum khoob hi aaye, phir darwaza khola gaya, jab mein dakhil hua to wahan Hazrat Yusuf Alaihis Salam the, Jibreel Alaihis Salam ne kaha yeh Yusuf Alaihis Salam hain, inhen salam karo. Mein ne inhen salam kiya, unhon ne jawab diya. Phir kaha MARHABAN BIL AKHIS S’SALIHI WAN NABIYYIS S’SALIH (yani Saleh bhai Saleh Nabi aap khoob aaye) inhen husn ka ek hissa diya gaya tha, unhon ne mujhe khush aamdeed kaha aur duaye khair ki.
Phir Jibreel mujhe upar le gaye hatta ke chauthe aasman par pahunche to darwaza khulwaya, pucha gaya kaun hai? Farmaya Jibreel hun, pucha gaya tumhare saath kaun hai? Farmaya Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam, pucha gaya kya inhen bulaya gaya hai? Farmaya haan kaha gaya khush aamdeed achcha aana, aap aaye. To darwaza khola gaya, jab andar gaye to wahan Hazrat Idris Alaihis Salam the, Jibreel Alaihis Salam ne kaha yeh Idris Alaihis Salam hain, inhen salam karen, mein ne inhen salam kiya unhon ne jawab diya aur kaha MARHABAN BIL AKHIS S’SALIHI WAN NABIYYIS S’SALIH (yani khush aamdeed ae Saleh bhai Saleh Nabi) unhon ne mujhe bhi khush aamdeed kaha aur duaye khair ki, phir mujhe upar le gaye hatta ke panchwen aasman par pahunche to darwaza khulwaya, pucha gaya kaun hai? Kaha Jibreel hun, pucha gaya tumhare saath kaun hai? Farmaya Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam hain, pucha gaya ke kya inhen bulaya gaya hai? Farmaya haan kaha gaya khush aamdeed aap achcha aana aaye. Darwaza khola gaya to wahan Hazrat Haroon Alaihis Salam the, Jibreel Alaihis Salam ne kaha yeh Haroon Alaihis Salam hain, inhen salam kijiye mein ne inhen salam kiya unhon ne jawab diya phir kaha: MARHABAN BIL AKHIS S’SALIHI WAN NABIYYIS S’SALIH (yani khush aamdeed ae Saleh bhai Saleh Nabi) unhon ne mujhe khush aamdeed kaha aur duaye khair ki, phir mujhe upar le gaye hatta ke chatthe aasman par pahunche darwaza khulwaya, pucha gaya kaun hai? Farmaya Jibreel hun, pucha gaya, tumhare saath kaun hai? Farmaya Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam hain, pucha gaya kya inhen bulaya gaya hai? Farmaya haan, kaha gaya khush aamdeed aap achcha aana aaye darwaza khola gaya mein andar pahuncha to wahan Hazrat Musa Alaihis Salam the Jibreel Alaihis Salam ne kaha yeh Musa Alaihis Salam hain inhen salam kijiye, mein ne inhen salam kiya unhon ne jawab diya phir kaha BIL AKHIS S’SALIHI WAN NABIYYIS S’SALIH (yani khush aamdeed ae Saleh bhai Saleh Nabi). Unhon ne mujhe khush aamdeed kaha aur duaye khair ki jab wahan se aage barhe to Musa Alaihis Salam rone lage, un se pucha gaya kya cheez aap ko rula rahi hai? Farmaya is liye ke ek farzand mere baad Nabi banaye gaye, un ki ummat meri ummat se ziyada jannat mein jaye gi.
Phir mujhe saatwen aasman ki taraf le gaye, Jibreel Alaihis Salam ne darwaza khulwaya, pucha gaya kaun hai? Farmaya: Jibreel hun, pucha ga tumhare saath kaun hai? Farmaya Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam hain, pucha gaya kya inhen bulaya gaya hai? Farmaya: haan. Kaha gaya khush aamdeed aap bahut achcha aana aaye, mein dakhil hua to wahan Hazrat Ibrahim Alaihis Salam the, aap Bait ul Ma'moor ke saath tek laga kar tashreef farma the, Jibreel Alaihis Salam ne kaha yeh aap ke walid Ibrahim Alaihis Salam hain inhen salam karen, mein ne inhen salam kiya unhon ne jawab diya, phir farmaya MARHABAN BIL IBNIS S’SALIHI WAN NABIYYIS S’SALIH (yani khoob aaye ae Saleh farzand Saleh Nabi. *Bukhari, 2/584, Hadees:3887, Muslim,s87, Hadees:411*
*✍️Mutallim ul Jamia Al Ashrafia✍️*