Saal-e-Nau: Jashn ka Mauqa ya Lamha-e-Fikr-o-Ehtisaab?


✍🏻Mufti Muhammad Salman Qasmi Kareem Nagri

___________________________________


  Mazhab-e-Islam aik aisa roshan chiragh hai jo insani qafila ko kufr-o-shirk ki tareekiyon se bacha kar rushd-o-hidayat aur siraat-e-mustaqeem ki taraf le jata hai jiski taleemaat-o-hidayat maghribi afkaar-o-nazariyaat aur deegar jahili rasumaat se paak-o-munazzah hai jis par insaan ki aql-e-khaam se paiwand kaari nahi ki ja sakti, yahi wajah hai ke mazhab-e-Islam ne har us tareeqa aur rasm ko ikhtiyar karne se roka hai jo maqsad-e-insaniyat ke khilaaf hai, unhi mein se aik "Saal-e-Nau ke mauqa par jashn manana hai"



 Badqismati se yeh rasm jo ke maghribiyat ki parwarda hai hamare Muslim muaashra mein bhi jar pakad rahi hai, jyon jyon saal ikhtitaam ke qareeb pahunchta jata hai naye saal ki aamad ka intezaar badhta jata hai har koi apne WhatsApp status, profile pic aur message ke zariya apni shiddat-e-intezaar ka izhaar karta hai pata nahi is din kaunsa inqilaab aane wala hai ya zindagi ke ahem faisle hone wale hain ya koi inaam milne wala hai. Chunanche jab woh din aa hi jata hai aur ghadi ki sui raat ke barah bajne ki ittila deti hai usi waqt bahut se naujawan na sirf yeh ke aik dusre ko Saal-e-Nau ki mubarakbaad pesh karte hain balki bade josh-o-kharosh se patakhe baazi karte hain aur cake waghera kaatte hain al-gharz shehar ki galiyan aur tafreeh gahein aise naujawano se aabad rehti hain.



Lekin aise mauqa par agar ghaur ki nigah se dekha jaye to kya waqai yeh din insaniyat ke liye jashn ka din hai ya phir Saal-e-Nau ka aaghaz kuch aur paigham deta hai? Haqeeqat yeh hai ke hamare liye yeh lamha-e-fikr-o-ehtisaab hai aur is din ko "Youm-e-Muhasiba" ke taur par manaya jaye aur Saal-e-Nau ke aaghaz ke mauqa par is baat ka jaiza liya jaye ke guzre hue saal hamare andar deeni aitbaar kya tabdeeli runuma hui? Agar deeni aitbaar se kuch tabdeeli aayi hai to is par Allah ka shukr baja layein aur is silsile ko aainda jaari rakhne ke liye hattal imkaan fikrmand-o-koshaan rahein, aur agar kuch khoya hai ya deeni aitbaar se tanzali ka shikaar hue hain to uski talafi ke liye aainda ki mansooba bandi ki jaye aur puri himmat-o-azm ke saath aage badhein, chunanche muhasiba nafs ke mutalliq aik mauqa par Allah Taala ne irshad farmaya "*Yaaa ayyuhal lazeena aamanut taqul laaha wal tanzur nafsum maa qaddamat li ghadin alkh* Aye imaan walo! Allah se daro, har shakhs ko dekhna chahiye ke woh kal qayamat ke liye kya bhejta hai? Allama Ibn Qayyim Jauzi Rehmatullah Alaihi farmate hain ke yeh aayat muhasiba nafs ke wujood par dalaalat karti hai lehaza har shakhs ko ghaur-o-fikr karna chahiye ke usne roz-e-qayamat ke liye kaun se aamaal bheje hain, kya naik aamaal jo use dozakh se najaat denge ya bure aamaal jo use tabaah-o-barbaad kar denge (Ighaathatul Lahfaan Libnil Qayyim ١/١٥)



Aik haqeeqi momin apni mansooba bandi mein dunyawi kamyabi ko saanwi darja aur ukhrawi kamyabi ko awwal darja deta hai, is lihaaz se hum sab ke liye saal-e-guzashta ka muhasiba karna na-guzir hai kyunke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne bhi irshad farmaya "*Al Kayyisu man daana nafsahu wa amila limaa ba'dal maut*" Aqalmand aadmi woh hai jo apne nafs ka muhasiba kare aur maut-o-aakhirat ki tayyari kare. (Riwaahut Tirmizi raqamul hadees 2459)



Is liye aqalmandi yahi hai ke hum ghaur karein ke hamari ab tak ki kaunsi masroofiyaat Allah Rabbul Izzat ki mansha-o-marziyaat ke khilaaf thi, aur kaunsi masroofiyaat shariat-e-mutahhara ke muwafiq? Ibadaat mein kitni kotahi hui? Allah-o-Rasool aur bandon ke jo huqooq mutalliq hain unki adaigi mein kis had tak kamyabi hui? Talluq ma Allah ka kitna jazba paida hua? Duniya ki fanaiyat aur aakhirat ki baqa ka kitna yaqeen hua? Agar in mein ab tak kotahi aur laparwahi hui to tauba-o-istighfaar ke saath aainda uski talafi ke liye zindagi ka nizam-ul-amal tayyar karna chahiye aur phir hum sab is baat se naa-aashna nahi hain ke is waqt duniya jis tez raftaar se taraqqi kar rahi hai utni hi tez raftaar se hamara Muslim muaashra khusoosan hamare naujawan deen se door hote ja rahe hain is ka andaza lagane ke liye yahi kaafi hai ke hum mein se kitne aise naujawan hain jinko islami mahino ke naam tak ka ilm nahi hai, unhein yeh bhi nahi pata ke islami saal ka aaghaz kaunse mahine se hota hai aur ikhtitaam kaunse mahine par hota hai?? Lekin unhein yeh zaroor maloom hai ke Happy New year, Happy birth day aur Happy anniversary kis tarah manate hain, aur musalmano ki aik badi tadaad is qism ke tehwaron mein apna qeemti mataa zaya kar rahi hai.



Is liye zaroorat is baat ki hai ke Musalman qaum ko yeh baawar karaya jaye ke Saal-e-Nau ka paigham rang raliyon aur jashn manana nahi hai balki ayyam-e-maaziya ke muhasibe aur baqiya zindagi ke liye laaiha amal tayyar karna hai, aur yeh baat inke zehen nasheen karein ke aik Musalman modern zamana ki wajah se islami taleemaat ka sauda hargiz nahi kar sakta iske nazdeek uswa-e-nabawi se badh kar kisi cheez ki ahmiyat nahi hai,

Lehaza jo insaan apne maafaat ke tadaruk ke liye kuch mansooba tayyar kare aur is silsile mein fikrmand rahe to phir kamyabi hamesha iska intezaar karti rahegi aur agar susti laparwahi ghaflat mein apni umr-e-azeez ko barbaad karein ge aur zindagi ke rukh ko badalne ke liye jin ausaaf aur salahiyaton ki zaroorat hai us se apne aap ko aarasta nahi karein ge to phir zawaal aur tanzali ke siyah baadal hum par chaa jayein ge. Allah Taala hum sabko apne zindagi ke rukh ko badalne ki taufeeq naseeb farmaye aur sahih ilm sahih fahm ata farmaye, aameen