Aik aur eent gir gayi deewar-e-hayat se
Nadaan keh rahe hain ke naya saal mubarak
✍🏻 Muhammad Palan Puri
ــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـــــــــٓـ
Naya saal aata hai to duniya shor machati hai. Calendar ka aik warq palatta hai aur insani samaj usse khushi ka ailaan samajh leta hai halanke haqeeqat yeh hai ke yeh warq darasal waqt ki kitaab se aik aur safhe ke phat jaane ka noha hota hai. Islam insaan ko jis waqt ki qadar sikhata hai woh waqt jashan ke liye nahi balke muhasabe ke liye hota hai. Jo lamha guzar jaye woh wapas nahi aata aur jo wapas nahi aata wohi asal sarmaya hota hai magar afsos ke aaj ka musalman bhi usi hujoom ka hissa banta ja raha hai jo waqt ke guzarne per taliyan bajata hai aur zindagi ke ghatne per muskurata hai........
Hum yeh samajh baithe hain ke naya saal hamari umar mein izafa kar deta hai halanke sach yeh hai ke yeh hamari mohlat mein kami ka ailaan hota hai. Har guzarta saal hamein anjaam ke aik qadam aur qareeb le aata hai magar hum is qurbat ko aatish baazi ke shor mein gum kar dete hain........
Iktees December ki raat barah bajne ka intezaar is tarah kiya jata hai jaise koi badi kamyabi haasil hone wali ho. Shehar roshan ho jate hain magar dilon per chhai hui tareeki aur gehri ho jati hai, galiyan charaghan se bhar jati hain magar zameer bujhta chala jata hai, tafreehi marakaz aur night partiyon mein moseeqi ki aawaz itni buland hoti hai ke insaan apne andar ki aawaz sunne se qaasir rehta hai. Yahan khushi ki tareef sharaab ke jamon aur waqti taalluqaat se ki jati hai aur yehi woh mahaul hai jahan be shumaar zindagiyan aik raat ki qeemat per apni pehchan kho baithti hain. Naam mohabbat rakha jata hai magar anjaam mein sirf nuqsaan hota hai, deen se doori, aqdaar ki shikast aur shakhsiyat ki toot phoot.. aur sab se ziyada takleef deh pehlu yeh hai ke ab is manzar mein musalman bhi ajnabi nahi rahe. Woh ummat jo kabhi waqt ko ibaadat samajhti thi aaj waqt ko zaya karne ko tehzeeb samajhne lagi hai. Yakam January ko parkon aur sair gahon mein hujoom hota hai, qahqahe goonjte hain, dastarkhwan sajte hain magar shukar, fikar aur zimmedari kahin dikhai nahi deti. Yeh picnics darasal faraghat nahi balke ghaflat ka jashan hoti hain aur phir aatish baazi ka woh khel jis mein aag sirf aasmaan mein nahi balke maashre ki buniyadon mein bhi lagti hai. Jaan o maal ka zaya hota hai magar aqal khamosh rehti hai....
Sawal yeh nahi ke duniya yeh sab kyun karti hai sawal yeh hai ke musalman kyun is ki naqali per fakhar mehsoos karne laga hai halanke is ke liye har naya din tauba ki dawat tha aur har guzarta saal anjaam ki yaad dehani. Humein jashan nahi jaize ki zaroorat hai, shor nahi khamoshi ki haajat hai aur calendar badalne per rawish badalne ka hausla darkaar hai kyunke waqt agar palat gaya to jashan baqi reh jaye ga aur hum apne hath mein sirf hasrat liye khade hon ge. Ae Allah hamein waqt ki haqeeqat samajhne wali aankh, apne anjaam ka shaoor aur ghaflat ke is tehwar se mehfooz rehne ki toufeeq ata farma.