Yeh sitamgaron ka hai mai-kada, mein bataun kis ka sitam tujhe?
Yeh to zalimon ka hai mai-kada, mein sunaun kitna alam tujhe?
Meri dil kharash hai dastaan, jo ghari ghari ki hai imtehaan
Kabhi sun ke ro diya be-zubaan, mein sunaun kitna yeh gham tujhe?
Yahan baatilon ka makaan hai, yahan fasidon ka zamaan hai
Yahan zalimon ki kamaan hai, mein bataun kis ka alam tujhe?
Mere aansuon ki khabar nahi, meri aajzi pe nazar nahi
Mujhe sun sake woh jigar nahi, kya dikhaun aankhen mein nam tujhe?
Kise muntaha-e-sitam kahun, kise mubtala-e-alam kahun
Jise jo kahun woh bhi kam kahun, mein bataun kis ka dharam tujhe?
Mein suna raha hun jo halatein, woh ghazal nahi, na rivaayatein
Yeh hain dard-o-gham ki imaratein, mein bataun kis ka bharam tujhe?
Yeh Munawwar apne alam kabhi, kiye shairi mein raqam kabhi
To hueen hain aankhen bhi nam kabhi, kya bataun dard-e-dilam tujhe?