Hubt ke bahane, chatting ke rangeen jaal aur muskurahat ke parde darasal shaitan ke bichhae hue woh kaante hain jo imaan ke narm dilon ko chalni kar dete hain. Naujawan samajhta hai ke yeh bus waqt guzari hai, mehaz dosti hai magar yehi dosti rafta rafta Ishq-e-majazi ke andhe kuen mein dhakel deti hai jahan na izzat bachti hai na ghairat, na sukoon rehta hai na itminan...
Yeh mobile ki screen par jalne wale neele chiragh, yeh raat ke andheron mein chhup kar bheji jane wali khufia muskurahatein, yeh meethe alfaaz yeh sab woh dhuan hain jo dil ke chiragh-e-imaan ko bujha dete hain. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne khabardar farmaya ke maine tumhare liye auraton se zyada bara koi fitna nahi chhora (Bukhari, Muslim). Aur yehi fitna aaj ki chatting ki shakal mein gharon ko ujaar raha hai, walidain ke bharose ko tor raha hai, naujawano ki ghairat ko nigal raha hai....
Kabhi socho! Woh ungliyan jo Quran ke auraq palatne ke liye theen wohi ungliyan namahram ko message bhejne mein masroof hain. Woh aankhen jo sajde mein Allah ki khashiyat se bheegne ke liye theen wohi aankhen ab mobile ki roshni mein gunah ke naqsh dekh rahi hain. Woh dil jo Mohabbat-e-Rasool se dharakne ke liye tha woh ab namahram ki tasweeron par qaid hai.....
Ae naujawan! Yeh chatting tere waqt ko zaya nahi karti balkay tere imaan ko deemak ki tarah chaatti hai. Yeh tujhe haya se mahroom kar ke be ghairati ke us morr par le aati hai jahan zina aasaan, tauba mushkil aur gunah meetha mehsoos hone lagta hai. Aur jaan le! Jo gunah meetha lagne lage, wohi sab se zehreela hota hai.
Wapas palat aa! Yeh masnui mohabbatein, yeh fareb zada alfaaz, yeh be bunyad jazbaat sab kuch waqti hain. Asal mohabbat Allah aur us ke Rasool ki itaat mein hai. Asal lazzat tauba ke aansuon mein hai. Asal izzat apne nigah aur dil ko pak rakhne mein hai.....
Yaad rakh! Agar aaj tu apni chatting ki khufia kahaniyon se tauba na kare to kal yehi chatting teri ruswai ka samaan bane gi. Duniya hanse gi, log taane den ge aur qabar mein tere saath sirf tere aamaal jayen ge, na mobile, na chat, na dost........