*Hazaar Dinar*
Shaher ke bazaar mein Rafiq ki kapray ki dukaan thi. Rafiq aik naik aur imandaar tajir tha.
Woh subah Fajar ki namaz parh kar zikr waghera se farigh ho kar dukaan kholta, aur jaisay hi Zohar ki azan hoti woh dukaan band kar ke masjid chala jata.
Allah Rabb-ul-izzat ne bhi is ke karobar mein barkat di thi. Rafiq ka shumaar maal daar logon mein hota tha.
Rafiq ke paas aik thaili thi jis mein uss ne aik hazaar dinar (sonay ke sikkay) rakhay hue thay. Aik martaba Rafiq ko karobar ke silsilay mein doosray mulk jana tha.
Woh apne aik qareebi dost Aamir ke paas apni thaili le kar gaya aur uss se kaha: "Bhai Aamir! Mein kuch arsay ke liye doosray mulk ja raha hoon aur tumhare paas apni aik amanat chhorr kar ja raha hoon. Umeed hai tum is ki hifazat karo ge, mein wapas aa kar tum se yeh amanat le loon ga."
Yeh keh kar Rafiq ne hazaar dinar se bhari thaili Aamir ke hawalay kar di. Aamir ne woh thaili hifazat se apne paas rakh li.
Rafiq apne safar par rawana ho gaya. Din guzarte gaye, Rafiq ko gaye hue kayi saal ho gaye.
Ab Aamir ke dil mein shaitan ne waswasa dala. Uss ne socha ke kyun nah mein is thaili se dinar (sonay ke sikkay) nikaal kar dirham daal doon. Rafiq wapas aa kar agar poochay ga to mein jhoot bol doon ga ke tum ne to mujhe yahi diya tha, mein ne is thaili ko khol kar bhi nahi dekha.
Aur Aamir ne isi tarah kiya. Thaili se dinar nikaale aur un ki jagah dirham rakh diye.
Kuch arsay ke baad Rafiq wapas aa gaya. Woh Aamir ke ghar gaya. Aamir uss se bohat achay tareeqay se mila aur sikkon se bhari thaili Rafiq ke hawalay kar di.
Rafiq ne ghar aa kar thaili kholi to yeh dekh kar hairaan reh gaya ke thaili bajaye dinar ke dirham (chandi ke sikkay) se bhari hui hai. Ab to Rafiq bohat pareshan hua. Woh bhagta hua Aamir ke paas gaya aur ussay saari baat batai.
Aamir bohat ghussa hua aur kaha: "Aik to mein ne tum par ehsaan kiya aur tumhare maal ki hifazat ki, aur ab tum mujh par chori ka ilzaam lagatay ho!"
Bechara Rafiq ghar wapas aaya, do rakaat nafal namaz parhi aur Allah se dua mangi: "Aye Allah! Mein to har saal apne maal ki zakaat bhi nikaalta hoon, aur jis maal ki zakaat ada kar di jaye uss ki aap hifazat farmatay hain. Mere maal ki hifazat farma kar mujhe wapas lauta dijiye."
Phir Allah ka naam le kar adalat pahuncha aur Qazi sahib ko sara waqea sunaya.
Qazi sahib ne Aamir ko bulaya aur uss se poocha ke Rafiq ne tumhare paas amanat kitne saal pehle rakhwai thi?
Uss ne kaha: "Paanch saal pehle."
Ab Qazi sahib ne thaili kholi aur sikkon ko bahar nikala aur Aamir se kaha: "Tum kehte ho ke yeh sikkay Rafiq ne tumhare paas paanch saal pehle rakhwaye thay, jabkay in sikkon par in ke ban'nay ki tareekh do saal pehle ki likhi hui hai. Iss ka matlab hai ke tum jhoot bol rahe ho. Ab jaldi se Rafiq ka maal uss ke hawalay kar do aur saza ke liye tayyar ho jao."
Aamir ne sharmindagi se apna sir jhuka liya aur apne jurm ka iqrar karte hue Rafiq ka maal uss ke hawalay kar diya.
⚔️ M T I 313 ⚔️