🌻Aitekaf-e-Sunnat
Aitekaf-e-Sunnat woh hai jo sirf Ramzan ul Mubarak ke aakhri ashra mein kiya jata hai.
🌻Aitekaf-e-Sunnat ke Masail
[1] Ramzan ke Sunnat Aitekaf ka waqt beeswan roza pura hone ke din ghuroob-e-aftab se shuru hota hai aur Eid ka chand nazar aane tak rehta hai. Mo'takif ko chahiye ke woh beeswein din ghuroob-e-aftab se pehle aitekaf wali jagah pahunch jaye.
[2] Yeh aitekaf sunnat-e-muakkadah alal kifayah hai, yaani bade shehron ke muhalle ki kisi ek masjid mein aur gaaon dehat ki puri basti ki kisi ek masjid mein koi ek aadmi bhi aitekaf karega toh sunnat sab ki taraf se ada ho jayegi. Agar koi bhi aitekaf na kare toh sab gunahgaar honge.
[3] Jis muhalle ya basti mein aitekaf kiya gaya hai, us muhalle aur basti walon ki taraf se sunnat ada ho jayegi agarche aitekaf karne wala dusre muhalle ka ho.
[4] Aakhri ashre ke chand din ka aitekaf, aitekaf-e-nafl hai, sunnat nahi.
[5] Aurton ko masjid ke bajaye apne ghar mein aitekaf karna chahiye.
[6] Sunnat aitekaf ki dil mein itni niyat kaafi hai ke mein Allah Ta'ala ki raza ke liye Ramzan ke aakhri ashre ka masnoon aitekaf karta hun.
[7] Kisi shakhs ko ujrat de kar aitekaf bithana jaiz nahi.
[8] Masjid mein ek se zaid log aitekaf karein toh sab ko sawab milta hai.
[9] Masnoon aitekaf ki niyat bees tareekh ke ghuroob-e-shams se pehle kar leni chahiye, agar koi shakhs waqt par masjid mein dakhil ho gaya lekin usne aitekaf ki niyat nahi ki aur suraj ghuroob ho gaya toh phir niyat karne se aitekaf sunnat nahi ho ga.
[10] Aitekaf-e-masnoon ke sahih hone ke liye mandarjah zail cheezein zaroori hain
1) Musalman hona
2) Aaqil hona
3) Aitekaf ki niyat karna
4) Mard ka masjid mein aitekaf karna
5) Mard aur aurat ka janabat yaani ghusl wajib hone wali halat se paak hona. Yeh shart aitekaf ke jaiz hone ke liye hai lehaza agar koi shakhs halat-e-janabat mein aitekaf shuru kar de toh aitekaf toh sahih ho jayega lekin yeh shakhs gunahgaar ho ga.
6) Aurat ka haiz o nifaas se khaali hona
7) Rozay se hona. Agar aitekaf ke dauran koi ek roza na rakh sake ya kisi wajah se roza toot jaye toh masnoon aitekaf bhi toot jayega.
[11] Agar kisi shakhs ne pehle do ashron mein rozay na rakhe hon ya tarawih na padhi ho toh woh bhi aitekaf kar sakta hai.
[12] Jis shakhs ke badan se badboo aati ho ya aisa marz ho jis ki wajah se log tang hote hon toh aisa shakhs aitekaf mein na baithe albatta agar badboo thodi ho jo khushboo waghera se door ho jaye aur logon ko takleef na ho, toh jaiz hai.
📚Aitekaf Course Safha 19-21