رمضان کا قیمتی لمحہ عید کی نذر کیوں ؟

   ✍🏻Gul Raza Rahi Arariavi 
ـــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــ

       Zaat Bari Taala ki fazal se Ramzan ul Mubarak ki mubarak sa'atein hum pe saya figan hain, is ka har lamha ummat e muslima ke liye saraha sa'adat naseeba wari hai, yeh tazkiya e nafs aur tasfiya e qalb ka zariya hai, tilawat e quran, zikr o azkar, sunan o nawafil ka ehtemam, aah o zari, shab bedari, khuda se niaz mandi o khushamadi ki ghariyan hai, gunah gaar aankhon ko bhagane ka waqt hai, qalb o dimagh ko rab ke huzoor mutawajjah karne ka mauqa hai, zindagi ke siyah nuqte ko mitane ka waqt hai, Allah Taala se lene aur mangne ka waqt hai, khair o aafiyat ke sawal ka waqt hai, par zeh naseeb ke jyon jyon Ramzan apne sa'aton ke saath tezi se mahw e safar hai, alwidaee naghme hamein sunate hain, itne hi hum sust par jate hain, hum hassasiyat kho dete hain, is ki qeemti sa'aton ko zaya karne lagte hain, hamari ibadaton mein woh rooh, josh o walwala baqi nahin rehta jo shuru Ramzan mein tha, tarawih mein quran mukammal hone ke baad se hi hum masjid ko bhool jate hain aur samajhte hain hum ne apni maghfirat karali ab mazeed kisi ibadat ki zaroorat nahin -

    Ek kahawat hai ke "Ramzan ek mah ka mehman hai" yeh kahawat jis ne bhi kahi ho woh nadan hai, kyunke hum agar dekhein to Ramzan mehman nahin hai woh to har saal apne waqt par aata hai aur aata rahega, mehman to hum hain jis ki zindagi ki saans kab? aur kahan ruk jaye? kuch pata nahin, dobara Ramzan tak pahunchna naseeb ho ke nahin, hum zinda rahenge to bhi Ramzan aayega aur mar gaye to bhi Ramzan aayega.  

     Jab hum Ramzan ko mehman samjhenge to yeh hum par bojh mehsoos hoga jo mehsoos kar rahe hain aur agar hum khud ko mehman samjhenge aur yeh sochenge ke ho sakta hai yeh hamare liye aakhri Ramzan ho to phir Ramzan ki qadar karenge, is ki barkaton se lutf andoz hone ke liye khud huma tan mutawajjah rakhenge -

   Aap sochen!
   Agar hum ne Ramzan se mukammal faida nahin uthaya aur is mein apne rab ko razi karke apni maghfirat na karwai aur yeh Ramzan hamare liye zindagi ka aakhri Ramzan hua to bataiye hum se zyada bad qismat kaun ho ga ke jis ko is ke rab ne khud ko badalne aur sanwarne aur sudharne ka mauqa diya lekin woh ghair zaroori masrufiyat mein lag kar is ke lamhat ko yun zaya kardiya jaise ke woh is ke liye koi woh cheez thi hi nahin -

     Is mein koi shak nahin Eid Allah Rabb ul Izzat ki janib se milne wala ek khaas tohfa aur inaam hai, is din hum umda libaas aur umda khurd o nosh ka intezaam karein, taake yeh mehsoos ho ke haan aaj hum Allah Taala ke mehman hain aur Allah Taala hamara mezban hai, is din mein aam dinon ke muqable mein aadmi numayan nazar aaye, umda poshakh ho, umda itr, umda waza qata, umda ghizaen hon, yeh sab shariat mein matloob hai -

 Magar; kuch salon se is mein bahut zyada mubaligha arai aur ehtemam dekhne ko milta hai, aisa lagta hai Allah Taala ne Ramzan ko isi kaam ke liye hamein diya tha ke hum pehanne odhne aur khane peene mein khud ko laga dein aur maqsad ko pas e pusht daal dein, hum ne Ramzan ko rasm bana diya hai aur Eid ko ek aish o masti ka din bana diya -

      Kya ajeeb tamasha hai logon ka ke Eid ki taiyariyan pandrah Ramzan se shuru kar dete hain, bazaron ka chakkar, raste mein gariyon hujoom, dukan mein kharidaaron ki qatarein, shor o hangama, sab o shatam, roze ka asar sab ke peshani pe nazar aata hai, jo sab se buri jagah hai woh hamare liye achi jagah ban gai hai aur sab achi jagah hai hum is se door hain, is se bari mahroomi ki aur kya baat ho sakti hai, isi ko zulm kehte hain, shai ko is ke maqam ke alawa mein rakhna -

     Matam to tab hai jab hamari maein, behnein aur ghar ki auratein shauqiyana is ki zeenat ban jati hain, har jagah auraton ki bheer, gali, sarak dukan, chauk, chauraha sab auraton ki aamajgah bani hui hai, colour changing design changing ke bahane bazaar ki zeenat ban rahi hai yeh kabhi cheez leni hai aur kabhi woh cheez waghera waghera isi chakkar mein mabaqiya pandrah Ramzan zaya ho jate hain, har jagah mehange jore ke charche,, is ki qeematon ke charche hain, ek rishta daar dusre rishta daar ko kapre dikhate hain aur qeematein batate hain aur fakhr ke saath is ka tazkira karte hain ke main ne itne ki kharidari ki aur main ne yeh liya woh liya waghera waghera 

   Ab bataiye!
             Allah Taala ne hamein Ramzan diya tha taake hum is se qareeb hon, talluq barhaen, ibadatein aur riyazatein karein, hum hain ke in se talluq kamzor kar rahe hain ghair zaroori kamon mein lag kar maqsad asli ko faut kar rahe hain -

   Hosh ke nakhun lein, dil samjhaen ke kya mere liye Ramzan ki ibadat wa riyazat asal hai ya phir Eid ke jore aur Eid ki taiyariyan -

      Hum agar mazi ka rukh karein to maloom hoga ke aaj se pandrah bees saal qabl bhi log Eid manate the, umda kapre pehente the, umda khane peene ka intezaam karte the, magar; woh sab aitedaal ke saath hota tha, par aaj kal sab ek dusre se sabqat haasil karne ke liye is ka khoob ehtemam karte hain aur agar hum ne kam qeemat ka jora liya to is mein apni zillat mehsoos karte hain -

      Kuch log aise bhi jo Eid ke jore kharidne na sirf ek shehar se dusre balki kai sau kilometer ka safar bhi kar lete hain taake is ka libaas Eidgah, gaon aur shehar mein sab mehnga aur pur kashish maloom ho jo ke riyakari hai -

      Baaz log Ramzan guzarne ke baad kai hazaar ke maqrooz ho jate hain sirf is wajah se ke hum Eid ke liye naye jore sab ko dila dein, kya ho gaya hai hamein? aur hum kahan ja rahe hain? saadgi ke saath hum zindagi kyun nahin guzarte? Innal bazaazata minal imaan yeh hamare Aqa Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman hai ke saadgi imaan ka hissa hai -

    Agar hum shariat ka mutala karein to kahin bhi Eid ke din ke liye naye kapre ka zikr nahin milta balki umda kapre ka zikr milta hai aur umda kapre woh hote hain jo aadmi apne paas maujood kapron mein behtar samajhta hai -

     Agar kisi ko kapre ki zaroorat ho to woh Ramzan se pehle bhi le sakta hai taake aadmi Ramzan se pehle hi in zarooriyat se farigh ho jaye aur phir Ramzan mein yaksooi ke saath ibadat mein munhamik ho jaye, aur agar zaroorat na ho jaisa ke aaj kal aam taur har aadmi ke paas pehle se hi umda qism ke kai jore maujood hote hain to unhein bazaar aur dukan ki khaak chhanne ki qatan zaroorat nahin hai -
yeh israaf o fazool kharchi hai jis ko quran ne bhi mana kiya hai 

   Allah Taala ummat e muslima ko faham sahih ata farmaye Aameen