Ramadan al-Mubarak Kay Masail 

*🌻Jin Cheezon Say Roza Nahi Toot'ta* 

[12] Lipstick laganay say roza nahi toot'ta lekin is ka khayal rahay kay munh kay andar na jaye.

[13] Rozadar ko ehtalam ho jaye to is say roza nahi toot'ta.

[14] Istihaza aik bimari hai, is mein namaz parhna hoti hai isi tarah istihaza ki halat mein roza bhi rakhna hota hai. Doran roza agar istihaza ka khoon aajaye to is say roza nahi toot'ta.

[15] Agar pakhane kay maqam kay ird gird berooni atraaf mein do lagai jaye jo andar na jaye to roza nahi toot'ta.

[16] Balm laganay say roza nahi toot'ta lekin naak kay andar na lagayen.

[17] Phool ya koi bhi khushbu songhnay say roza nahi toot'ta.

[18] Rozay ki halat mein geele kapray ko sar ya jism par lapetnay say roza nahi toot'ta.

[19] Naak, munh, kaan ya kisi zakhm say ya bawasir ka khoon nikalnay say roza nahi toot'ta.

[20] Rozay ki halat mein khilal karna durust hai lekin yeh zehen mein rakhen kay khilal ka dhaga flavored na ho. Flavored hai dhagay say khilal karna makrooh hai.

[21] Rozay ki halat mein teraki karna jaiz hai. Yeh khayal rahay kay naak ya munh kay zariye pani andar na jaye. Agar pani andar gaya to roza toot jaye ga aur qaza lazim ho gi.

[22] Rozay ki halat mein ghair zaroori baal saaf karna jaiz hai, is say roza par koi farq nahi parta.

*📚Kitab-ul-Fiqh jild 01 safha 187*