Allah toh mohabbat karta hai
Agar Allah Tabarak wa Ta'ala hum se mohabbat na karte toh woh hamare liye apne sab se mehboob bande Rasool Allah (PBUH) ko is dunya mein hidayat bana kar na bhejte aur humein andheron mein bhatakta hua chor dete
Agar Allah hum se mohabbat na karte toh woh hamare liye Quran jaisa zinda kalam nazil na farmate jo har daur mein humein sahi aur ghalat ka farq samjhata hai aur humein rasta dikhata hai
Agar Allah ko hamari koi parwa na hoti toh woh humein baar baar gunahon se palat aane ka mauqa na dete aur tauba ka darwaza hamari zindagi ke aakhri lamhe tak khula na rakhte
Agar Allah humein bhulana chahte toh woh Ramzan jaisa rehmaton aur maghfirat se bhara mahina na bhejte jahan ek ek neki pe kayi guna ajr likh diya jata hai
Agar Allah ko hamare aansu pasand na hote toh woh humein sajdon mein gir kar rone ka saleeqa na sikhate aur toote dilon ki dua qubool karne ka wada na karte
Agar Allah humein apne qareeb bulana na chahte toh woh humein namaz ki ne'mat na dete jo din mein kayi baar humein dunya se utha kar apne samne khara kar deti hai
Agar Allah hum se be niaz hote toh woh iftari se pehle dua mangne ka woh lamha na dete jab bhookh pyas ke sath dil bhi jhuka hua hota hai
Yeh sab is baat ki wazeh daleel hai ke Allah Tabarak wa Ta'ala hum se be had mohabbat karta hai aur humein har haal mein apne paas bulana chahta hai
Bas is Ramzan humein itni samajh de ke hum is mohabbat ko pehchan lein aur itna hausla de ke hum gunahon se palat kar is ki taraf aa jayein
Kyunke zindagi ka koi aitbaar nahi na agla lamha yaqeeni hai na agla Ramzan aur na yeh saans jo abhi chal rahi hai
Jab is ke paas jana hi hai toh kyun na is haal mein jayein ke woh hum se raazi ho aur humein apni rehmat mein dhanp le
Yahi asal kamyabi hai yahi nijaat hai aur yahi woh
mohabbat hai jis ke liye yeh zindagi mili hai