*Bismillahir Rahmanir Raheem*
*Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu*
*Ahkam Ramadan-ul-Mubarak*
*Roze Ke Chand Masail*
(1) Agar rozadar dant saaf kiye baghair so gaya aur danton mein atka hua khana chane ki miqdar ya is se zyada halq mein utar gaya to roza toot jayega, qaza wajib hogi kaffara nahin. Aur agar chane ki miqdar se kam hai to roza fasid nahi hoga.
(2) Dant ke darmiyan agar koi cheez chane se badi lagi hui thi aur use nigal gaya to roza fasid ho gaya, agar chane se chhoti hai to roza fasid na hoga lekin makrooh hai. Albata agar munh se bahar nikal liya tha phir is ke baad nigal liya to har haal mein roza toot jayega, chahe chane ke barabar ho ya is se bhi kam ho, dono suraton mein roza fasid ho jayega.
(3) Agar dant se khoon nikla aur thook ke saath mil kar halq ke andar chala gaya to dekha jayega ke khoon zyada hai ya thook, agar khoon zyada hai to roza fasid hai, qaza zaroori hai, kaffara nahin. Agar thook zyada hai to roza fasid nahi hua.
(4) Masnui dant munh mein lage rehne se roze par koi asar nahi padega. Roza badastoor sahih rahega, kyunke masnui dant lagane ke baad asal dant ke hukm mein ho jata hai.
(5) Agar roze ke dauran dant nikalne ki shadeed zaroorat hai to dant nikalna jaiz hoga, albata khoon halq se na utre, is ka khayal rakhna zaroori hoga. Is liye roze ke dauran na nikalna behtar hai.
Agar khoon ya dawa pet ke andar chala jaye to roza fasid ho jayega, qaza lazim hogi, kaffara nahin.
(6) Roze ke dauran dant mein dard hone ki soorat mein dawai lagana mana hai, kyunke agar dawai andar jayegi to roza fasid hoga, qaza lazim hogi aur agar dawai andar nahi jayegi to andar jane ka ehtemal hai. Lehaza is ehtemal ki wajah se roza makrooh
hoga.
(7) Agar roze ki halat mein dant se khoon nikal kar halq mein chala gaya to roza fasid ho ga ya nahi, is mein yeh tafseel hai ke agar khoon ki miqdar kam aur thook ki miqdar zyada hai to roza fasid nahi ho ga. Aur agar khoon ki miqdar zyada ya barabar hai to is soorat mein roza fasid ho jayega.
Wallahu Aalam Bis Sawab