*Darul Uloom ka dakhla*
Ba-qalam: Muaz Haider
2/ Ramzan 1447 Hijri
Darul Uloom aik Ilhami idara hai, yahan ka intekhab mashiyat-e-Azdi ke baghair mumkin nahi, is ke liye dakhla imtehan ke ilawa koi dusra rasta nahi, is imtehan ki tayyari bare zor o shor se hoti hai.
Madaris mein pure saal is ki tayyari karwai jati hai, subon mein is ki khatir aarzi darsgahen lagai jati hain, aik tadad Ramzan hi mein yahan ka rakht-e-safar bandh leti hai, inhen bohut si purkhar wadiyon ko tay karna parta hai, qiyam o ta'am bhi aik mustaqil masla bana rehta hai.
Yeh jamaat din o raat ka farq kiye baghair is marhale ko tay karti hai, kal chand ki khabar ke baad gardish-e-ayyam mein aik tabdeeli runuma hui, sargarmiyon mein badlao aaya, mahol mein inqilab bapa hua, bazar mein gahakon ke intekhab badle, fiza mein aik goonj paida hui; lekin Naudare mein khema zan yeh jamaat apne mamool mein masroof, apne maqsad mein munhamik nazar aayi, Darul Uloom ka yeh hissa dusre hisson ke muqable mein mumtaz dikhai diya, yahan ilm ka charcha ho raha tha, chiragh-e-Qasmi se roshni hasil karne ki liyaqat paida kar rahe the, inqilab-e-zamana ne in ki yaksoi ko zarra barabar mas nahi kiya.
Yeh manzar dekh kar riqqat tari hogai, aankhen bhar aain, dil se duayen nikleen.