Waqti taaqat ka ghalat istemal ek khitaab dil se
Khama bakaf 🖊️Muhammad Aadil Arriyavi
____________________________________
Mohtaram Qaarieen
Mein kai dinon se is fikr mein mubtala hun ke hamare ilaake ka ek sabiq MP jise Allah ne waqti taaqat aur izzat di thi apni is jagaht ka ghalat istemal kiya. Woh dhamkiyan de kar vote haasil karne ki koshish kar raha hai. Mein wazeh taur par kehta hun agar Allah ne aap ko waqti taaqat di hai to ise zulm dhons ya dhamkiyon mein istemal na karen waqti iqtedar ka matlab yeh nahi ke aap logon ki zindagi mushkil banayen jis tarah aap ne logon ko dhamkaya dhoka diya aur sataya yeh qaabil-e-mazammat hai aur yaad rakhen ke zindagi aur maut sab Allah hi ke haath mein hain tum jaise naa-ahil badkirdar aur dhoke baaz log hazaron ban kar aaye aur chale gaye. Khuda na khasta agar tum ne apni taaqat ka ghalat istemal kiya to hisaab nafs-e-haqeeqi mein hoga jahan koi makari nahi chalti.
Kuch log Khuda ki di hui waqti taaqat ko apni ana hawas aur intiqam ki aad bana kar istemal karte hain. Aisi taaqat ka asal imtehan yeh hai ke insaan is ka istemal insaaf khidmat aur aajizi ke liye kare ya dusron ko darane dhamkane aur apne mafaadaat ke liye istemal kare jab taaqat dhoke saazishon aur khauf ki bunyaad ban jaye to woh insaniyat ke khilaaf jurm ban jaati hai dhamkiyan dena ilzaam tarashi karna rishtedaron ko haraasan karna ya taaqat ke zor par vote lena yeh sab ravishen ghair-akhlaqi aur ghair-qanuni hain. Aise tareeqe na sirf fard ki izzat ko majrooh karte hain balkay poore muaashre ko be chaini mein mubtala kar dete hain haq ka difaa karna sach bola jana aur zulm ke khilaaf aawaz uthana hamara haq aur farz hai khamoshi baratne se zulm badhta hai is liye jahan haq ho wahan baat khul kar honi chahiye mein un logon se bhi mukhatib hun jo rashk gharaz ya zaati mafaad ki bhent chadh kar dusron ko uksate hain hasad aur nafrat ke beej se kabhi acha nateeja nahi nikla apne bachon khandan aur apne naam ki khatir sach aur insaaf ka saath den jo log aap ke saath zulm karte hain un se jawab dene ki bajaye mazboot akhlaq ba-waqar andaaz aur Khuda ki adalat par bharosa karen
Hum kisi bhi tarah ki fuhashi shararat ya haraasan karne wali harkat qubool nahi karte jis ne bhi tumhen vote dene ya kisi ko dabane ki talqeen ki is ki khaami bhi saamne aa jaye gi tumhare jo bhi amirana rawaiye hain tumhen sharm karni chahiye humen dhamkiyon se daraya nahi ja sakta hamare vote hamari marzi hain aur hum aman o qanoon ke andar reh kar apna haq istemal karen ge.
Allah se dua hai ke woh tumhen hidayat de aakhir mein hum tumhari dhamkiyon se khaufzada nahi humen sar katane ki dhamki dena aasaan hai magar hamara sar jhukne wala nahi jahan bhi zulm hua hai hisaab wahin liya jaye ga jis ka Rab hi Malik-e-haqeeqat hai.
Allah Rabb-ul-Izzat aap sab ko sahi rasta dikhaye. Aameen Ya Rabb-ul-Aalameen
Wassalam-o-Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh