کیاہم اہل فلسطین کو بھول گیے؟

Gul Razarahi Arariavi 

✍🏻Aaj bhi ahl-e-Falasteen ummat-e-Muslima se yeh sawal kar rahe hain kya tum khoon alood jism, surkh libas, hairan o pareshan log, zameen bos makanat jalte aur ujarte hue ghar, pajmurda chehre, pathar bandhe pait, bhook se tilmilane wale masoom bachche, bachchiyan, bum barood ki shaitani awazein, hamari cheekh o pukar, ranj o alam se nikalne wale aansuon ko bhool gaye-

Suno! Falasteen Musalmanon ka ek ahem mudda'i hai, jis ki hurmat nusoos qatai se sabit hai, yeh sarzameen Ambiya-e-Kiram, be shumar Khuda ke faristade ki bood o bash hai aur yahin se deen-e-haq ki shuaein roshan ki-
Yeh itni muqaddas sarzameen hai jo Kaabatullah ke baad sab se mohtaram maqam hai, Masjid-e-Aqsa isi sarzameen mein abad hai jo ke Musalmanon ka qibla-e-awwal hai, yeh itni mohtaram jagah hai jis ke bare mein Aqa Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke agar is mein koi chirag jalane ke tel bhi bhej sakta ho use bhejna chahiye, is se muhabbat karna aur is ke taien hamdardi o khairkhwahi jazba rakhna hamare iman ka hissa hai, is ki hifazat karna ummat-e-Muslima ka ahem fareeza hai, yahi wajah hai ke jab Yahud o Nasara ne is par qabza jamaya to is ki azadi ke liye ummat-e-Muslima ka ek janbaz lashkar bar sar-e-pekar raha, is ki azadi mein Hazrat Umar Farooq aur Salahuddin Ayubi ne numayan kirdar ada kiya, is ki azadi ke liye jid o jehad ki aur inhen azad karaya, pehli martaba Umar Farooq Razi Allahu Anhu azad karaya phir jab dobara Yahudiyon ne is par apna tasallut qaim kiya to Salahuddin Ayubi ne bazor-e-shamsheer ise phir se azadi dilai, jis se yeh baat ayan ho jati hai ke yeh sarzameen Musalmanon ki hai aur is ki pasbani bhi Musalmanon ki zimmedari hai 
Masjid-e-Aqsa Musalmanon ki miras hai is mein kisi ki mudakhlat jaiz nahi-

Yahud o Nasara ka yeh daawa karna yeh hamari jagah hai aur hamare aabao ajdad ki sarzameen hai yeh sarasar ghalat hai kyunke Khuda ka ghar usi ki hifazat mein aata hai jo momin ho aur yeh Yahud o Nasara aayat o asar ki roo se Musalman nahi kyunke in Nabi Akhir-uz-Zaman par iman nahi hai lehaza is ka daawa batil o be buniyad hai,
Lekin kyunke aqaid-e-batila ke pas-e-parda in ke mafad pinhan o posheeda hain jis ki buniyad par yeh khabees apne qabze mein lekar apna hadaf aur maqsad ki takmeel ki be faida koshish kar rahe hain-

Yahudi o Nasara Islam aur Musalmanon ke pakke dushman hain, unhon ne daur-e-Muhammadi se lekar dushmani nibhane koi kasar nahi chhodi hai hatta ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam par kai martaba hamla aawar hue magar kamyab na ho sake, ab tak Islam aur Musalmanon ko mitane beja koshish kar rahe hain, is ke liye kitne mansooba bana chuke hain

Taqreeban 75 saal se Yahud o Nasara mil kar darindagi ki had paar kar rahe hain aur Falasteen ke Musalmanon ko nishana bana rahe hain, zulm o sitam ki alam angez bab qaim kar rahe hain, be rehm hokar insaniyat ko pas-e-pusht dal kar Gaza ke masoom bachche, iffat ma'ab mae'n, behnein, buzurg naujawan bhai sab par apni jarhiyat jari rakh kar apni khabasat aur zalim hone ka saboot faraham kar raha hai-
Yeh masoom janein bhook, pyas ki shiddat, bum barood aur goliyon ki awazein, sun kar aur is ki zad mein aakar jam-e-shahadat nosh kar rahe hain, derh sala arse mein pachas hazar se zaid masoom janein Rab ke huzoor pahunch kar apni shikayatein kar rahi hain-
 Kai lakh ahl-e-Falasteen be sarosamani ke aalam mein hijrat karne par majboor hain, kai mahinon se in ke chehre pajmurda hain khushiyan lane wala koi nahi, aaj madad ke liye koi aage nahi aa raha hum sab buzdil hain, khoon alood jism, surkh rangeen kapde pehanne par woh majboor hain, yaqeenan ahl-e-Falasteen fi zamana ashab-e-Badr wa ashab-e-Karbala ki dusri tasveer hai jo ke azm o istaqlal aur jurrat mandi ke shahkar namuna hai, unhon ne hamein batlaya ke ashab-e-Badr ki jurrat kya thi, unhon ne bataya ke kya ashab-e-Karbala ka azm o istaqlal kya tha, aaj yeh be sarosamani aalam mein nusrat-e-Ilahi par aetemad karte hue khud ko is aalami jang par qaim rakha-
Aaj puri duniya mein derh arab Musalman hain aur satavan 57 Islami mulk hain magar koi bhi madad to dar kinar in ke liye in ki himayat o hifazat ke liye ek lafz kehne ko tayar nahi, sab ke sab Yahud o Nasara ke ghulam aur is ke tamalluq baz bane baithe hain, koi is ki himayat mein aage aane ke liye tayar nahi, yaqeenan yeh buzdili sab ka yahi hashr kare gi jo ke aaj ahl-e-Gaza aur ahl-e-Falasteen ka ho raha hai-
Aaj ummat-e-Muslima ko samajhne ki zaroorat hai ke shana ba shana bahami taawun karein aur muttahid hokar ek mazboot aawaz ban kar batil taqaton ko neest o nabood aur paspa karne puri sirf karein, warna rafta rafta sab ka number aaye ga
Baqaul shayar ••••
Mein agar zad pe hun to itna khush guman na ho 
Chirag sab ke bujhenge hawa kisi ki nahi hoti 

Allah hum sab ko bahami talluq qaim rakh kar ek dusre ke dard ko samajhne ki toufeeq ata farmaye Ameen 