Pehli Sifat: Kalma Tayyiba (La Ilaha Illallah Muhammadur Rasulullah)
Kalma ka maqsad (nazriya ki tabdeeli hai) Kalma sirf zuban se parhne ka naam nahi, balkay dil ke yaqeen ko badalne ka naam hai.
Maqsad: "Is kalmay ka maqsad yeh hai ke hamare dilon se 'Ghair Allah' ka yaqeen nikal jaye aur 'Allah' ki zaat ka sau feesad yaqeen paida ho jaye. Yeh yaqeen baith jaye ke karne wali zaat sirf Allah ki hai, Allah ke baghair kuch nahi hota aur Allah sab kuch karne par qadir hai."
Hum kehte hain ke dawa ne aaram diya, lekin dawa to aik jarri booti hai. Shifa Allah ke hukum mein hai. Wohi dawa aik ko faida deti hai aur doosre ke liye be asar ho jati hai, kyunke karne wali zaat Allah ki hai.
Dekho! Suraj waqt par nikalta hai, chand apni manzilein tay karta hai, zameen apne mehwar par ghoomti hai. In sab ko chalane ke liye na kisi bijli ki zaroorat hai na kisi machine ki. Bus Allah ka aik "KUN" (ho ja) kaafi hai.
Khulasa: "Allah maal ke baghair paal sakta hai, Allah aulaad ke baghair naam chala sakta hai, aur Allah asbaab ke baghair sab kuch kar sakta hai, jabke poori kainat mil kar bhi Allah ke hukum ke baghair aik machhar ka par bhi nahi hila sakti."
"Muhammadur Rasulullah ﷺ" Ki Wazahat
Kalmay ka doosra hissa hamein "tareeqa" batata hai.
Matlab: "Kamyabi ke jitne bhi khazane Allah ke paas hain, un ko haasil karne ka sirf aik hi tareeqa hai, aur woh hai Janab Nabi Kareem ﷺ ka mubarak tareeqa."
Misal: Agar kisi ke paas lakhon rupay hon lekin usay yeh na pata ho ke bazaar se samaan kaise kharidna hai, to woh bhooka mar jaye ga. Isi tarah Allah ke paas sab kuch hai, lekin Allah se lene ka tareeqa sirf Sunnat-e-Nabawi ﷺ mein hai.
Wazahat: Jo tareeqa sunnat ke mutabiq hoga woh Allah ke haan qubool hai, chahe woh kitna hi chota kyun na ho, aur jo tareeqa sunnat ke khilaf hoga woh Allah ke haan radd hai, chahe woh kitna hi bara kyun na ho.
Is kalma ka yaqeen hamare dilon mein aajaye hum Allah ke ehkamat ke tabay hain Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki mubarak tareeqe par zindagi guzarne wale ban jayein is ke liye teen tarah ki mehnat hai
Dawat: Hum bar bar Allah ki qudrat ka tazkira karein, logon ko Allah ki barai batayein.
Mashq: Jab bhi koi kaam karein to kahein "Allah ke hukum se ho raha hai".
Dua: Allah se ro ro kar mangein ke "Ae Allah! Mere dil mein apni azmat aur apne Nabi ﷺ ki mohabbat paida farma".
"Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Jis ka aakhri kalaam 'La Ilaha Illallah' hua, woh jannat mein daakhil ho gaya." Aur farmaya ke "Imaan ki sattar se ziyada shakhain hain, jin mein sab se afzal 'La Ilaha Illallah' kehna hai".