Tajdeed-e-Yateemi aur Dada Abdul Muttalib ki Kafalat - Jab Haleema Sadiya (Razi Allahu Anha) Rasool Allah ﷺ ko wapas Makkah Mukarrama le aayeen, to Aap ﷺ ki kafalat Aap ki walida aur Dada Abdul Muttalib ne shuru ki. Aap ﷺ apni walida ke saath rahe hatta ke Aap ﷺ ki umr chhe saal hogayi. Isi dauran Aap ﷺ ki walida Aap ko Yasrib (Madina Munawwara) le gayeen taake Aap ke nanhiyal yaani Bani Adi bin Najjar (jo Aap ke walid ke rishte daar the) un se mulaqat karwain aur apne shohar (Abdullah) ki qabr ki ziyarat kar saken.

Wapasi ke safar mein Allah ka faisla hua ke Aap ﷺ ki walida ka intiqal hogaya, aur unhen "Abwa" naammi maqam par dafan kardiya gaya jo Madina Munawwara aur Makkah Mukarrama ke darmiyan waqay hai. Ab Rasool Allah ﷺ dobara yateem hogaye.

Umratul Hudaibiya ke mauqe par Rasool Allah ﷺ Abwa se guzre to Aap ﷺ ne Allah Ta'ala se apni walida ki qabr ki ziyarat ki ijazat mangi, chunanche ijazat mil gayi. Aap ﷺ qabr par gaye aur roye aur apne saathiyon ko bhi rula diya, aur farmaya:

Maine apne Rab se apni walida ke liye maghfirat ki dua karne ki ijazat chahi magar mujhe ijazat nahi di gayi, aur maine qabr ki ziyarat karne ki ijazat chahi to ijazat de di gayi. Pas qabron ki ziyarat kiya karo kyunke yeh tumhen maut ki yaad dilati hain.

Chunanche Aap ki walida ke intiqal ke baad Aap ﷺ ko Aap ke walid majid ki bandi "Umm Aiman" ne seene se lagaya aur wapas Makkah le gayeen aur Dada Abdul Muttalib ke hawale kardiya. Abdul Muttalib ne Aap ﷺ ko apni kafalat mein le liya aur Aap se behad mohabbat ki aur maa baap ki mohabbat ke khali ko pur kiya. Abdul Muttalib ke liye Kaaba ke saaye mein khaas bichhona bichhaya jata tha, aur un ke beton mein se koi is par nahi baith sakta tha, magar Rasool Allah ﷺ ko woh apne paas bithate aur mohabbat se Aap ﷺ ki peeth par haath pherte.

Lekin Allah ka faisla tha ke Dada ki zindagi bhi ziyada na rahi, chunanche do saal baad Dada ka bhi intiqal hogaya. Is waqt Rasool Allah ﷺ ki umr aath saal thi. Is ke baad Aap ﷺ ki kafalat Aap ke chacha Abu Talib ne apne walid Abdul Muttalib ki khaas wasiyat par shuru ki.


Jaari..................


✍🏻: Muhammad Rehan Zia-ul-Haq Afi Anhu

Khadim-e-Tadrees, Madrasa Riyaz-ul-Jannah, Dhule (Maharashtra)

Wa Khadim-ul-Quran, Majma Abdullah bin Masood (Razi Allahu Ta'ala Anhu), Li Halqaat-ul-Quran-il-Kareem An Bu'd, Bil Madinat-il-Munawwara.