Aurat woh hasti hai jis ke ehtram se muaashron ka miyaar naapa jata hai. Jis samaaj mein aurat mehfooz, ba-waqar aur moaziz ho, wohi samaaj haqeeqi maanon mein muhazzab aur zinda kehlaane ka haq daar hota hai. Aurat ko mahz kisi kirdaar ya zimmedari tak mehdood kar dena darasal is ki azmat ko kam samajhne ke mutradif hai, halanke muaashre ki asal rooh isi ke wujood se wabasta hai.
Aurat ki izzat sab se pehle us ke insaan hone se judi hai. Aur us ki narmi shaaistagi wa sheeftagi bohat qeemti sarmaya iftikhar hai. Woh kisi ki malkiyat nahi balkay aik mukammal shakhsiyat hai, jisay Allah ne shaoor, ehsas aur waqar ata kiya hai. Maa ke roop mein woh ehtram ki buland tareen manzil par faiz hai, beti ki soorat mein rehmat aur khushi ka paigham hai, behan ke tor par tahaffuz aur shafqat ka rishta hai aur biwi ki haisiyat se sukoon aur aitemaad ka markaz. Yeh tamam rishte aurat ke baghair adhoore aur be maani hain.
Muaashre ki sharafat aur akhlaqi bulandi ka sab se wazeh izhaar aurat ke sath bartao mein nazar aata hai. Jis muaashre mein aurat ko tehqeer, tashaddud ya nazar andazi ka samna ho, wahan taraqqi ke tamam daawe khokhlay sabit ho jatay hain. Is ke bar aks, jab aurat ko izzat, tahaffuz aur izhaar ki azadi milti hai to muaashra khud bakhud aitedaal, tawazun aur aman ki rah par gaamzan ho jata hai.
Aurat ki takreem ka taqaza yeh hai ke usay taleem, shaoor aur khud aitemadi se aarasta kiya jaye. Taleem yafta aurat sirf apne liye nahi balkay poore mahol ke liye khair ka zariya banti hai. Woh akhlaq, bardasht aur shaaistagi ko farogh deti hai aur aane wali naslon ko insaniyat aur zimmedari ka shaoor ata karti hai. Aurat ki taleem darasal muaashre ki akhlaqi sarmaya kari hai.
Aurat ki mojoodgi muaashre ko narmi, husn e sulook aur insani rabt ata karti hai. Is ki fitri shafqat sakht dilon ko narm aur bikhre rishton ko jorne ka hunar rakhti hai. Yehi ausaaf muaashrati zindagi ko mahz aik nizaam nahi balkay aik zinda aur bahami ehtram par qaim tamaddun banate hain.
Islam ne aurat ko haqeer nahi balkay muhtaram maqam ata kiya. Is ke huqooq wazeh kiye, is ki izzat ki hifazat ko farz qarar diya aur is ke sath husn e sulook ko imaan ka hissa banaya. Yeh taleemat is haqeeqat ko wazeh karti hain ke aurat ka ehtram koi riayat nahi balkay aik zimmedari hai, aur yehi zimmedari muaashre ki taamir ko mukammal banati hai.
Aakhir mein yeh kehna baja hai ke aurat ke baghair muaashre ki taamir na sirf na mukammal balkay be rooh hai. Aurat ko izzat, tahaffuz aur waqar diye baghair na khandan mazboot ho sakte hain aur na samaaj paidaar. Aik ba waqar aurat hi ba waqar muaashre ki bunyad rakhti hai, aur isi bunyad par taraqqi, aman aur insaniyat ki imarat qaim hoti hai.