Yeh Hum Ne Kya Chun Liya?

Insaan ki zindagi darasal intikhabon ka majmua hai. Har lamha, har mod par woh kuch na kuch chunta hai—kabhi shaoor ke saath aur kabhi mehaz aadat ya mahaul ke dabao mein. Magar asal sawal yeh nahi ke hum ne kitna chuna, balkeh yeh hai ke hum ne kya chuna? Aur kyun chuna?


Aaj ka insaan sahulat ko hikmat, maqbooliyat ko haq, aur waqti faide ko daimi kamyabi samajh baitha hai. Hum ne woh raaste ikhtiyar kiye jo hamwar to thay, magar seedhe nahi thay; jo roshan dikhai dete thay, magar roshni mustaar thi. Nateeja yeh hua ke aamal ki rooh kamzor pad gayi aur niyat ki gehrai sathi ho kar reh gayi.


Shariat-e-Islam humein yeh sikhati hai ke har intikhab niyat, tareeqe aur anjam—teenon ke aitbaar se parkha jaye. Neki wohi motabar hai jo khuloos-e-dil se, durust tareeqe par aur durust maqsad ke liye ki jaye. Lekin hum ne neki ko bhi numaish ka zariya bana liya. Jo amal khamoshi mein Allah ke haan wazan rakhta tha, hum ne usse shor mein la kar halka kar diya.


Yeh daur sawal nahi karta ke amal kitna durust hai, balkeh yeh dekhta hai ke woh kitna numayan hai. Hum ne apne zameer se kam aur logon ki raye se ziyada mashwara lena shuru kar diya. Yahi wajah hai ke dil mutmain nahi, ibadat mein lazzat nahi, aur talluqaat mein ikhlas nahi raha.


Asal almiya yeh nahi ke zamana badal gaya hai, balkeh yeh hai ke hum ne badalte zamane ko baghair soche samjhe qubool kar liya. Humein yeh yaad rakhna chahiye ke har naya rasta tarraqi nahi hota, aur har purana usool farsuda nahi hota. Deen humein rukne, sochne aur phir chunne ka saleeqa sikhata hai.


Ab bhi waqt hai ke hum apne intikhabon ka muhasba karein. Yeh dekhein ke hum ne jo chuna, woh hamari aakhirat ke liye kitna soodmand hai, aur hamare zameer ke liye kitna bojhhal. Kyunki aakhirkar sawal yahi hoga:


Yeh Hum Ne Kya Chun Liya?


— aur is sawal ka jawab hum ko sirf alfaaz se nahi, aamal se dena hoga👍🏻



🌷۔۔۔Fizza Sabahat۔۔۔🌷