بسم اللّٰہ الرحمٰن الرحیم
Nahmatuhu wa Nusalli Ala Rasoolihil Kareem
Insaan ki zindagi ke ban'ne sanwarne ka raaz aur zariya Allah ki kitaab se munslik hai. Raah-e-raast par chalne ke liye Khudai qanoon aur umoor-e-Ilahi ko apnane ki zaroorat hai. Insaan ki sehat aur hidayat ka talluq Allah ki kitaab wa ibaadat se hai. Quran mehaz alfaaz ka majmua nahi hai, balki is mein naseehat ka majmua, fazeelat ka majmua, tarbiyat ka majmua, ibaadat ka majmua, rehmat wa barkat ka majmua, aur hidayat wa mohabbat ka bhi majmua hai. Is se istifada par tadabbur wa fikr har Musalman ka fareeza hai.
Pyari Behno!
Quran har marz ki dawa ke saath har masle ka hal hai. Quran roohani bimari, shakhsi, khandani bimari se nijaat faraham karta hai. Ek martaba is ko is ke maqam ki nazar se to dekhen!
Ek martaba is ko aitmaad ke lehje mein to parkhen!
Ek martaba is ko jazbaat ke saath to haath mein len!
Aap ko kya kya milega? Aap andaza nahi laga sakteen!
Quran hamari niji zindagi, aapas ke bigde mahol par is andaaz mein naseehat karta hai "ولا تجادلو اھل الکتاب الا بالتی ھی احسن الا الذین ظلموا منھم" Jhagra mat karo, behtar sulook ka intikhab karo. Larai jhagra ahl-e-imaan ko zeb nahi dete!
Jab hum museebat wa pareshani mein ghare hote hain to Quran hamein dilasa deta hai! "لا تحزن ان اللہ معنا" Ghamgeen mat ho, jis tarah rahat Allah ki jaanib se milta hai, isi tarah bator aazmaish gham bhi Allah ki jaanib se milta hai. Is par Allah ke waaste sabr karna, Allah par bharosa aitmaad rakhte hue yeh tasavvur karna ke sab kuch Allah ki jaanib se hai. Allah mujhe sabr ki taaqat naseeb farma, is tarah ki dua maangna chahiye. Hamari zindagi ajeeran hone ki wajah kya hai? Talaash karne ki zaroorat hai!
Hamare zindagiyon mein larai jhagre ki wajah kya hai?!
Hamare rishton se sukoon khatam ho jane ki wajah kya hai?!
Hamare rozi se barkat uth jane ki wajah kya hai?!
Hamare jism mein bimari ke paida hone ki wajah kya hai?!
Hamare waqt mein barkat na hone ki wajah kya hai?!
Hamare paas akhlaq ki kami kyun pai ja rahi hai?!
In sab ka ek hi sabab hai, woh hai tark-e-Quran.
Quran mein rahat pane ka nuskha is tarah bayan kiya gaya *"الا بذکر اللہ تطمئن القلوب"*
Quran mein sabr pane ka nuskha is tarah bayan kiya gaya hai *"یاایھا الذین آمنوا استعینوا بالصبر والصلوۃ"*
Quran mein izzat wa salehiyat pane ka nuskha is tarah bayan kiya gaya hai *"رب ھب لی من الصالحین"*
Quran Majeed mein akhlaq ki taleem is tarah di gayi hai *"انک علی خلق عظیم"*
Quran Majeed mein barkat aur rehmat pane ka zariya is tarah bataya gaya hai *"یاایھا الذین آمنوا صلو علیہ و سلموا تسلیما"*
Pyari Behno!
In sari taleemat ke majmue ko Quran Majeed kehte hain. Quran ke zariye hum apni manzil Quran wale Rab ke paas yani aasman mein haasil kar sakte hain. Quran ka adab wa ehteram laazim pakar len!
Quran ki tilawat ka ehtemam laazim kar len! Quran ka faham wa amal zaroor samajh len!
Isi mein sa'adat hai, isi mein izzat hai, isi mein rif'at hai, isi mein rahat hai, isi mein barkat hai, isi mein azmat hai, isi mein mehnat hai, isi mein mohabbat hai, isi mein sunnat hai, isi mein jannat hai,
Allah Pak ki tamam qeemti ne'maton se hum sab ko maala maal farmaye, Ameen
Wa aakhiru da'wana anil hamdulillahi rabbil aalameen