Maut o Ma Baad ul Maut Aik Fikr Angez Khitaab.
✍🏻 Khama Bakaf Muhammad Aadil Arariavi
_______________________________
Aaj Juma se Qabl Banda e Naacheez ko Jaame Masjid Sisauna Joki Haat Araria Bihar mein aik nihayat ahem aur sanjeeda mauzu (Maut o Ma Baad ul Maut) par khitaab karne ka sharaf haasil hua. Yeh woh unwan hai jo har zinda insaan ke zameer ko jhanjhodne wala dil ko dehlaane wala aur rooh ko jaga dene wala hai.
Khitaab mein naacheez ne yeh wazeh karne ki koshish ki hai ke maut zindagi ka ikhtitaam nahi balkay aik naye aur abdi safar ki shuruwaat hai. Duniya faani hai aur is ka har lamha aik imtehaan. Qabr ki tanhai hashr ka manzar Meezan ka palra Siraat ka safar yeh sab aik haqeeqat hain jin se inkaar mumkin nahi.
Yeh baat bhi ujagar ki gayi ke jo log duniya mein neki ke saath jeete hain woh maut ko dar-e-rehmat paate hain jabkay ghafilon ke liye yehi maut dar-e-azaab ban jaati hai. Imaan Amaal-e-Saliha aur taqwa hi woh tosha hai jo Ma Baad ul Maut ke safar mein insaan ke kaam aata hai.
Allah Rabb ul Izzat se dua hai ke hamein maut ki tayyari ki toufeeq ata farmaye hum sab ka khatima imaan par kare aur hamari aakhirat ko kamyaab banaye Aameen Summa Aameen Ya Rabb ul Aalameen.