Kai log aap ko kahein ge
Hum aap ke saath hain
Hum aap ke khair khwah hain
Hum aap ko girne nahi dein ge
Magar waqt aane par
Aap tanha ho jayen ge
Aap ka koi bhi dast o bazu
banne ke liye tayyar na ho ga
Koi aap ka khair khwah na ho ga
Aap girain ge to aap ka sahara banne ke liye
Koi bhi tayyar na ho ga


To ummeedein chor do
Sahare lena chor do
Aap jo kuch hain
Woh aap hi hain
Madadgar sirf Khuda hai
Aap girain ge
To
Khuda Taala ko pukarein
Woh aap ki pukar sune ga
Aap sahara dhoondte hain
Aankhein band kar lein
Ghour karein
To
Wanu aqrabu ilaihi min hablil wareed
Woh aap ke qareeb ho ga
Jab se mein ne Allah par bharosa kiya
Mein kamyabi ke zeene tay karta gaya
Yaqeenan mein kuch nahi
Meri kamyabi ke peeche
Mera Rab hai
Jaan se pyara
Mera Khaliq
Mera Raziq
Kai baar mein ne nafarmani ki
Us ne maaf kar diya
Kai baar mein ne apni
Ana ko aage kiya
Phir palta
To us ne mujhe kabhi taana nahi diya
Maaf kar diya
Mein ne khushi mein usse chor diya
Gham mein pukara
To usne meri pukar ko suna
Aaiye aap bhi usi hasti ki taraf
Jo kehta hai
Kun fayakun
To faisla ho jata hai
Woh kabhi girne nahi deta
Be shak
Ya Rabbi lakal hamdu kama yanbaghi li jalali wajhika wa azeemi sultanik