*Khushi ka Lamha Sada-e-Qalam se Taaruf*


Zindagi ke safar mein kuch khushiyan aisi bhi hoti hain jo alfaaz mein sameti nahi jaatin, aaj dil unhi nayab khushiyon mein se ek khushi mehsoos kar raha hai, jab mujhe *Sada-e-Qalam* jaisa ilmi o adabi platform mila, yeh mehez ek website nahi, balkeh ehsasaat o khayalaat ki woh dunya hai jahan qalam bolta hai, dil likhta hai, aur ilm roshni bikhereta hai, yahan har mazmoon mein fikar ki tazgi hai, har lafz mein imaan ki khushbu hai, aur har tehreer mein islaah-e-muashra ka jazba.


Mein apne Rab ka behad shukar guzaar hun jis ne mujhe is raah par gaamzan kiya, aur saath hi is mehrban insaan ka shukriya ada karna chahta hun jis ne mujhe Sada-e-Qalam tak pahunchne ki rehnumai ki.

Aur yaqeenan baaz muharrir bohat umda likhte hain kabhi sochta akhir is tarah likhna aur mukhtasar alfaaz mein apne maa fi al-zameer ko samjhane ka madda kahan se aaye ga, Allah Rab ul-Izzat katibeen haqqa ka sadqa ata farmaye aameen bijah al-Nabi al-Kareem ﷺ.


Yaqeenan: Sada-e-Qalam sirf ek naam nahi, balkeh ek sada hai jo har sahib-e-qalam ke dil se nikal kar roshni ban jati hai.

Allah Kareem hamare tamam katibeen ko haq o sadaqat par gaamzan rehne ki taufeeq bakhshe aur hamare qalam mein mazeed taseer paida farmaye aameen.


*✍️Mutallim al-Jamia al-Ashrafia✍️*