Waqti taaqat ka ghalat istemal ek khitab dil se 


Khama bakaf 🖊️Muhammad Aadil Arariawi 

____________________________________

Mohtaram Qarieen

Mein kai dinon se is fikr mein mubtala hun ke hamare ilaake ka ek sabiq MP jise Allah ne waqti taaqat aur izzat di thi apni is jagaht ka ghalat istemal kiya. Woh dhamkiyan de kar vote hasil karne ki koshish kar raha hai. Mein wazeh taur par kehta hun agar Allah ne aap ko waqti taaqat di hai to ise zulm dhons ya dhamkiyon mein istemal na karen waqti iqtedar ka matlab yeh nahi ke aap logon ki zindagi mushkil banayen jis tarah aap ne logon ko dhamkaya dhoka diya aur sataya yeh qabil-e-mazammat hai aur yaad rakhen ke zindagi aur maut sab Allah hi ke hath mein hain tum jaise na-ahl badkirdar aur dhoke baz log hazaron ban kar aaye aur chale gaye. Khuda nakhwasta agar tum ne apni taaqat ka ghalat istemal kiya to hisab nafs-e-haqiqi mein hoga jahan koi makkari nahi chalti.

Kuch log Khuda ki di hui waqti taaqat ko apni ana hawass aur intiqam ki aad bana kar istemal karte hain. Aisi taaqat ka asal imtehan yeh hai ke insan is ka istemal insaaf khidmat aur aajizi ke liye kare ya dusron ko darane dhamkane aur apne mufadaat ke liye istemal kare jab taaqat dhoke saazishon aur khauf ki bunyad ban jaye to woh insaniyat ke khilaf jurm ban jati hai dhamkiyan dena ilzam tarashi karna rishtedaron ko harasan karna ya taaqat ke zor par vote lena yeh sab rawishen ghair-akhlaqi aur ghair-qanuni hain. Aise tareeqe na sirf fard ki izzat ko majrooh karte hain balkay poore muashre ko be chaini mein mubtala kar dete hain haq ka difa karna sach bola jana aur zulm ke khilaf aawaz uthana hamara haq aur farz hai khamoshi bartne se zulm badhta hai is liye jahan haq ho wahan baat khul kar honi chahiye mein un logon se bhi mukhatib hun jo rashk gharaz ya zati mufad ki bhent charh kar dusron ko uksate hain hasad aur nafrat ke beej se kabhi acha natija nahi nikla apne bachon khandan aur apne naam ki khatir sach aur insaaf ka sath den jo log aap ke sath zulm karte hain un se jawab dene ki bajaye mazboot akhlaq ba-waqar andaz aur Khuda ki adalat par bharosa karen

Hum kisi bhi tarah ki fuhashi shararat ya harasan karne wali harkat qubool nahi karte jis ne bhi tumhen vote dene ya kisi ko dabane ki talqeen ki is ki khami bhi samne aa jaye gi tumhare jo bhi amirana rawayye hain tumhen sharm karni chahiye hamen dhamkiyon se daraya nahi ja sakta hamare vote hamari marzi hain aur hum aman o qanoon ke andar reh kar apna haq istemal karen ge.

Allah se dua hai ke woh tumhen hidayat de aakhir mein hum tumhari dhamkiyon se khaufzada nahi hamen sar katane ki dhamki dena aasan hai magar hamara sar jhukne wala nahi jahan bhi zulm hua hai hisab wahin liya jaye ga jis ka Rab hi malik-e-haqiqat hai.

Allah Rabb-ul-izzat aap sab ko sahi rasta dikhaye. Ameen Ya Rabb-al-aalameen 

 

Wassalam-o-Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu