{Mere chaman ki raunaq tujh se hai}



Banam Mufti Dabeer Ahmad Qasmi

Khadim Tadrees 

Jamia-tul-Qirat Kuflita Gujarat 

___________________________________

Gul Raza Rahi Arariawi ✍🏻



Nachiz apne ilaake mein jin logon se bator-e-khaas mutassir hai un mein ek numayan naam mere mohtaram Hazrat Aqdas Maulana Mufti Dabeer Ahmad Sahab Qasmi hain jo apne ilmi wa amli aitibar se atraaf wa aknaf ke ulama mein mumtaz wa mutaarif, Hazrat be shumar khubiyon ke hamil hain, zaban wa adab ke mahir, khush guftar, saleeqa shiar, husn kirdar, tawazu wa aajzi ke paikar hain, shafqat wa mehrban, khubiyon ke mutlashi aur ek behtareen wa nayab insan hain-



Hazrat ka taaruf maine Gujarat mein dauran-e-taleem bhi suna, phir ilaqa ke logon se suna, maloom hua ke ulama wa tulba mein Hazrat yaksaan qadr ki nigah se dekhe jate hain-



Main girche Hazrat ke hi gaon ka hun, magar meri sab se pehli shanasai is waqt hui jab mujhe Jamia Masjid Kamaldaha mein tarawih sunane ka sharaf hasil hua-

 

Mere liye saadat wa masarrat ki baat thi ke walid mohtaram aur Mufti Sahab ke zer nigrani tarawih padha raha tha,

 

Pehli dusri tarawih balki das din tak main na jaan saka ke yeh kaun hain, chunke is waqt mera shaoor baligh na hua tha aur na itni faham thi ke main kisi se daryaft karun, jab tarawih mein bahusn wa khubi Quran ki takmeel hui aur phir Hazrat ne bade hi purthooq lehje mein 

,khitab farmaya 

Samaeen gosh bar aawaz hokar puri taqreer baghair kisi naql wa harkat ke nazrein jama kar samaat karte rahe, Quran Kareem ki ahmiyat wa fazilat, huffaz ka maqam wa martaba, ulama deen ki qadr par roshni dali, aur meri khamiyon ke bawajood hausla afzai ke saath mujhe saraha aur tareef ki, mujhe bahut khushi hui, iske baad se Hazrat Mufti Sahab mere dil ke sab se zyada qareeb hogaye aur dil mein un ki qadr baith gayi, guzishta do teen salon se Hazrat Ramzan ke mauqe pe tashreef late hain aur apne 

fuyuz wa barkat se logon ko faida pahunchate hain 

-

Hazrat Mufti Sahab Darul Uloom Deoband se faraghat ke baad se ta haal Jamia-tul-Qirat Kuflita Gujarat ke musnad tadrees par faiz hain, kamyab mudarris wa murabbi hain aur kai salon se wahan hadith wa ifta ki khidmaat anjam de rahe hain- wahan ki ilmi shakhsiyat mein bahut maqbool hain -

Aaj mere gaon Kamaldaha ka naam roshan hai, ulama Gujarat ka daura hota hai, yahan ki khidmaat dekh kar masarrat ka izhaar karte hain -

Aaj Kamaldaha ka musbat paigham Gujarat tak pahuncha hai iski wajah Hazrat Mufti Sahab Damat Barkatuhum ki zaat aqdas hai

Allah un ke umar mein barkat ata farmaye aur mazeed humein istifade ka mauqa ata farmaye- Ameen