Guftagu — Fun, Tehzeeb aur Aaina-e-Batin

✒️ Mufti Muhammad Tasleemuddin Al-Mahmoodi 

Guftagu mehez alfaaz ka aik be jaan majmua nahi, balkay yeh aik fun hai jo insan ki soch, tarbiyat, aur akhlaqi miyaar ko ayaan karta hai. Zuban kay zariye ada honay walay alfaaz insan kay batin kay aaina daar hotay hain. Aik khushbu daar phool ki manind, umda guftagu sunnay walay kay dil o dimagh ko mehka deti hai, jabkay talkh aur be rabt kalaam kaano ko chubhta aur dil ko zakhmi kar deta hai.

Fun-e-Guftagu mein sab se pehla usool yeh hai ke insan sanjeedgi, narmi aur shaaistagi ko apnay kalaam ka zewar banaye. Alfaaz wohi chunay jayen jo dil mein jagah banayen, nah ke zakhm chor jayen. Aik khoobsurat jumla kabhi kabhi barson ki kadurat mita deta hai, jabkay aik sakht lafz barson ki mohabbat ko jala kar raakh kar deta hai.

Tehzeeb-e-Guftagu is waqt parwaan charti hai jab insan apni baat ko doosray kay muqaam, halaat aur jazbaat kay mutabiq dhaalay. Har mauqa aur har shakhs ke liye aik hi tarz-e-kalaam mozoon nahi hoti. Ahle Ilm kay haan guftagu ko adab ka darja haasil hai, kyunkay yeh insan ki ilmi pukhtagi, shaoor aur shakhsiyat ki gehrai ko zahir karti hai.

Yeh baat yaad rakhnay ki hai ke guftagu mein insan ka batin jhalakta hai. Jo dil naik ho, alfaaz bhi naik niklen ge. Jo dil mein keena, ghuroor aur tang nazri rakhta ho, us ki zuban se sakhti aur talkhi tapakti hai. Isi liye Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:

"Jo Allah aur aakhrat kay din par imaan rakhta hai, usay chahiye ke achi baat kahay ya khamosh rahay."(Bukhari wa Muslim)

Al-gharz, guftagu mehez bolnay ka amal nahi, balkay aik aaina hai jo insan kay akhlaq, tarbiyat aur ilm ka aks paish karta hai. Lehaza hamein apni zuban ko sanwarna, alfaaz ko chunna aur kalaam ko dilnasheen banana chahiye, taakay hum nah sirf apnay khayalat ko behtar andaaz mein paish kar saken balkay doosron kay dilon mein apni mohabbat bhi qaim rakh saken.