Hisaab Kitaab... Lamha-e-Fikriya ___!! 

Aik dafa aik mulk ka baadshah bimaar ho gaya, jab baadshah ne dekha ke uske bachne ki koi umeed nahi toh usne apne mulk ki raaya mein elaan karwa diya ke woh apni baadshahat uske naam kar dega jo uske marne ke baad uski jagah aik raat qabar mein guzarega,
Sab log bohat khaufzada hue aur koi bhi yeh kaam karne ko tayyar na tha, isi dauraan aik kumhaar jisne saari zindagi kuch jama na kiya tha. Uske paas siwaye aik gadhe ke kuch na tha usne socha ke agar woh aisa karle toh woh baadshah ban sakta hai aur hisaab kitaab mein kya jawab dena padega uske paas tha hi kya aik gadha aur bas!
So usne elaan kar diya ke woh aik raat baadshah ki jagah qabar mein guzarega.
Baadshah ke marne ke baad logon ne baadshah ki qabar tayyar ki aur waade ke mutabiq kumhaar khushi khushi us mein jaakar let gaya, aur logon ne qabar ko band kar diya, kuch waqt guzarne ke baad farishte aaye aur usko kaha ke utho aur apna hisaab do. Usne kaha bhai hisaab kis cheez ka mere paas toh saari zindagi tha hi kuch nahi siwaye aik gadhe ke!!!
Farishte us ka jawab sun kar jaane lage lekin phir aik dam ruke aur bole zara...uska nama-e-aamaal khol kar dekhen is mein kya hai, bas phir kya tha,
Sab se pehle unhone pucha ke haan bhai falaan falaan din tumne gadhe ko aik waqt bhooka rakha tha, usne jawab diya haan, fauri taur par hukum hua ke usko sau durre maare jayen, uski khoob dhunaai shuru hogayi.
Iske baad phir farishton ne sawal kiya acha yeh batao falaan falaan din tumne zyada wazan laad kar usko maara tha, usne kaha ke haan phir hukum hua ke usko do sau durre maare jayen, phir maar padna shuru hogayi. Gharz subah tak usko maar padti rahi.
Subah sab log ikhatte hue aur qabar kushai ki taake apne naye baadshah ka istaqbaal kar saken.
Jaise hi unhone qabar kholi toh us kumhaar ne bahar nikal kar daud laga di, logon ne pucha baadshah salaamat kidhar ja rahe hain, toh usne jawab diya, o bhaiyon puri raat mein aik gadhe ka hisaab nahi de saka toh puri raaya aur mamlikat ka hisaab kaun deta phirre.
Kabhi socha hai ke humne bhi hisaab dena hai. Aur pata nahi ke kis kis cheez ka hisaab dena padega jo shayad humen yaad bhi nahi hai.